zindagi se meri is tarah mulaqaat hui
lab hile aankh mili aur na koi baat hui
dard ki dhoop nahin yaad ka saaya bhi nahin
ab to qismat meri be-rangi-e-haalat hui
sirf kal hi nahin is daur mein bhi deeda-wari
nazr-e-auhaam hui said-e-rivaayaat hui
kal to mehwar the meri zaat ke ye kaun-o-makaan
kaayenaat aaj jo simti to meri zaat hui
sar ko phoda kiye patthar se samundar se lade
subh yun shaam hui shaam se yun raat hui
ghar mera dekh liya sail-e-bala ne shibli
aagahi kya hui ik dard ki sougaat hui
ज़िंदगी से मिरी इस तरह मुलाक़ात हुई
लब हिले आँख मिली और न कोई बात हुई
दर्द की धूप नहीं याद का साया भी नहीं
अब तो क़िस्मत मेरी बे-रंगी-ए-हालात हुई
सिर्फ़ कल ही नहीं इस दौर में भी दीदा-वरी
नज़्र-ए-औहाम हुई सैद-ए-रिवायात हुई
कल तो मेहवर थे मिरी ज़ात के ये कौन-ओ-मकाँ
काएनात आज जो सिमटी तो मिरी ज़ात हुई
सर को फोड़ा किए पत्थर से समुंदर से लड़े
सुब्ह यूँ शाम हुई शाम से यूँ रात हुई
घर मिरा देख लिया सैल-ए-बला ने 'शिबली'
आगही क्या हुई इक दर्द की सौग़ात हुई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alqama Shibli
our suggestion based on Alqama Shibli
As you were reading Nigaah Shayari Shayari