zakham dil ka khoon-chakaan aisa na tha | ज़ख़्म दिल का ख़ूँ-चकाँ ऐसा न था

  - Alqama Shibli

zakham dil ka khoon-chakaan aisa na tha
ab se pehle jaan-sitaan aisa na tha

larza-bar-andaam hai qasr-e-yaqeen
aadmi said-e-gumaan aisa na tha

fuljhadi si chhooti thi raat-din
shahr-e-jaan teera-nishaan aisa na tha

phool jo the aarzoo ke jal gaye
shola shola gulistaan aisa na tha

zeest ki rah mein balaaen theen magar
mere sar par aasmaan aisa na tha

shaakh-e-gul thi titliyon ke par bhi the
gulshan-e-dil be-amaan aisa na tha

ज़ख़्म दिल का ख़ूँ-चकाँ ऐसा न था
अब से पहले जाँ-सिताँ ऐसा न था

लर्ज़ा-बर-अंदाम है क़स्र-ए-यक़ीं
आदमी सैद-ए-गुमाँ ऐसा न था

फुलझड़ी सी छूटती थी रात-दिन
शहर-ए-जाँ तीरा-निशाँ ऐसा न था

फूल जो थे आरज़ू के जल गए
शो'ला शो'ला गुलिस्ताँ ऐसा न था

ज़ीस्त की रह में बलाएँ थीं मगर
मेरे सर पर आसमाँ ऐसा न था

शाख़-ए-गुल थी तितलियों के पर भी थे
गुलशन-ए-दिल बे-अमाँ ऐसा न था

  - Alqama Shibli

Aasman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alqama Shibli

As you were reading Shayari by Alqama Shibli

Similar Writers

our suggestion based on Alqama Shibli

Similar Moods

As you were reading Aasman Shayari Shayari