dast-dar-dast fira karta hoon pyaasa hoon main
aur duniya ye samjhti hai ki dariya hoon main
tang sehra nazar aaya hai jo faila hoon main
ho gai hai meri tasveer jo simtaa hoon main
justuju jis ki safeenon ko rahi hai sadiyon
dosto mere vo be-naam jazeera hoon main
kis liye mujh pe hai ye sust-ravi ka ilzaam
zindagi dekh le khud tera saraapa hoon main
aarzoo mere qadam ki thi kabhi raahon ko
aaj lekin dil-e-imkaan mein khatkata hoon main
padh sako gar to khulen tum pe rumooz-e-hasti
waqt ke haath mein ik aisa sahifa hoon main
anjuman hoon main kabhi zaat se apni shibli
aur mehfil mein bhi rah kar kabhi tanhaa hoon main
दश्त-दर-दश्त फिरा करता हूँ प्यासा हूँ मैं
और दुनिया ये समझती है कि दरिया हूँ मैं
तंग सहरा नज़र आया है जो फैला हूँ मैं
हो गई है मिरी तस्वीर जो सिमटा हूँ मैं
जुस्तुजू जिस की सफ़ीनों को रही है सदियों
दोस्तो मेरे वो बे-नाम जज़ीरा हूँ मैं
किस लिए मुझ पे है ये सुस्त-रवी का इल्ज़ाम
ज़िंदगी देख ले ख़ुद तेरा सरापा हूँ मैं
आरज़ू मेरे क़दम की थी कभी राहों को
आज लेकिन दिल-ए-इम्काँ में खटकता हूँ मैं
पढ़ सको गर तो खुलें तुम पे रुमूज़-ए-हस्ती
वक़्त के हाथ में इक ऐसा सहीफ़ा हूँ मैं
अंजुमन हूँ मैं कभी ज़ात से अपनी 'शिबली'
और महफ़िल में भी रह कर कभी तन्हा हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alqama Shibli
our suggestion based on Alqama Shibli
As you were reading Dua Shayari Shayari