dil ke darwaaze pe dastak ki sada koi nahin
kaun si manzil hai ye aawaaz-e-paa koi nahin
majlis-e-aalam se kis tarah nikle zindagi
ye vo zindaan hai ki jis ka raasta koi nahin
karbala to aaj bhi milta hai har har gaam par
shehar mein lekin husain-e-ba-wafa koi nahin
kuchh samajh kar hi kiya hai main ne us ka intikhaab
kya hua us raah mein gar naqsh-e-paa koi nahin
main jo utha to utha saara zamaana mere saath
tum jo utthe to utha dil ke siva koi nahin
ai shab-e-furqat kahaan bhatkegi chal mere hi ghar
ye vo basti hai jahaan raushan diya koi nahin
aatish-e-ehsaas mein jalte raho shibli sada
shaay'ri se badh ke duniya mein saza koi nahin
दिल के दरवाज़े पे दस्तक की सदा कोई नहीं
कौन सी मंज़िल है ये आवाज़-ए-पा कोई नहीं
मज्लिस-ए-आलाम से किस तरह निकले ज़िंदगी
ये वो ज़िंदाँ है कि जिस का रास्ता कोई नहीं
कर्बला तो आज भी मिलता है हर हर गाम पर
शहर में लेकिन हुसैन-ए-बा-वफ़ा कोई नहीं
कुछ समझ कर ही किया है मैं ने उस का इंतिख़ाब
क्या हुआ उस राह में गर नक़्श-ए-पा कोई नहीं
मैं जो उट्ठा तो उठा सारा ज़माना मेरे साथ
तुम जो उट्ठे तो उठा दिल के सिवा कोई नहीं
ऐ शब-ए-फ़ुर्क़त कहाँ भटकेगी चल मेरे ही घर
ये वो बस्ती है जहाँ रौशन दिया कोई नहीं
आतिश-ए-एहसास में जलते रहो 'शिबली' सदा
शाइ'री से बढ़ के दुनिया में सज़ा कोई नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alqama Shibli
our suggestion based on Alqama Shibli
As you were reading Manzil Shayari Shayari