kyun malaamat ka hadf gardish-e-paimaana bane
laghizish-e-paa se meri kaaba-o-but-khaana bane
aql ke bas ki nahin bakhiya-giri phoolon ki
dard jis ko ho gulistaan ka vo deewaana bane
lab-e-hikmat se shab-o-roz ujaale tapke
teera-zehni ka magar ye bhi mudaava na bane
be-sabab shauq nahin mail-e-afsaana-gari
har haqeeqat ki ye khwaahish hai ki afsaana bane
rukh-e-jaanaan ke tasavvur hi mein raatein guzriin
chaand-taare dil-e-mahjoor ki duniya na bane
aashna fasl-e-bahaaraan hi nahin hai shaayad
kya kahi phool ki kyun sabza-e-begaana bane
main to hoon sham-e-sifat-soz saraapa shibli
jis ko jalna nahin aata ho vo parwaana bane
क्यूँ मलामत का हदफ़ गर्दिश-ए-पैमाना बने
लग़्ज़िश-ए-पा से मिरी का'बा-ओ-बुत-ख़ाना बने
अक़्ल के बस की नहीं बख़िया-गिरी फूलों की
दर्द जिस को हो गुलिस्ताँ का वो दीवाना बने
लब-ए-हिक्मत से शब-ओ-रोज़ उजाले टपके
तीरा-ज़ेहनी का मगर ये भी मुदावा न बने
बे-सबब शौक़ नहीं माइल-ए-अफ़साना-गरी
हर हक़ीक़त की ये ख़्वाहिश है कि अफ़्साना बने
रुख़-ए-जानाँ के तसव्वुर ही में रातें गुज़रीं
चाँद-तारे दिल-ए-महजूर की दुनिया न बने
आश्ना फ़स्ल-ए-बहाराँ ही नहीं है शायद
क्या कहीं फूल कि क्यूँ सब्ज़ा-ए-बेगाना बने
मैं तो हूँ शम-ए-सिफ़त-सोज़ सरापा 'शिबली'
जिस को जलना नहीं आता हो वो परवाना बने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alqama Shibli
our suggestion based on Alqama Shibli
As you were reading Dost Shayari Shayari