dil ke dar par qufl pada hai tum bhi chup ho ham bhi chup | दिल के दर पर क़ुफ़्ल पड़ा है तुम भी चुप हो हम भी चुप

  - Alqama Shibli

dil ke dar par qufl pada hai tum bhi chup ho ham bhi chup
khaamoshi ab shart-e-wafa hai tum bhi chup ho ham bhi chup

be-sauti ab saut-o-sada hai tum bhi chup ho ham bhi chup
lafzon ka dam toot gaya hai tum bhi chup ho ham bhi chup

kal tak to jhankaar silaasil ki thi jeene ka paighaam
aaj ye kaisa waqt pada hai tum bhi chup ho ham bhi chup

gulshan gulshan sehra sehra kis ne phoonka aisa fusoon
ik ik taair sang hua hai tum bhi chup ho ham bhi chup

dil se rishta toot gaya hai ab to zabaan ka bhi shibli
is se badh kar koi saza hai tum bhi chup ho ham bhi chup

दिल के दर पर क़ुफ़्ल पड़ा है तुम भी चुप हो हम भी चुप
ख़ामोशी अब शर्त-ए-वफ़ा है तुम भी चुप हो हम भी चुप

बे-सौती अब सौत-ओ-सदा है तुम भी चुप हो हम भी चुप
लफ़्ज़ों का दम टूट गया है तुम भी चुप हो हम भी चुप

कल तक तो झंकार सलासिल की थी जीने का पैग़ाम
आज ये कैसा वक़्त पड़ा है तुम भी चुप हो हम भी चुप

गुलशन गुलशन सहरा सहरा किस ने फूँका ऐसा फ़ुसूँ
इक इक ताइर संग हुआ है तुम भी चुप हो हम भी चुप

दिल से रिश्ता टूट गया है अब तो ज़बाँ का भी 'शिबली'
इस से बढ़ कर कोई सज़ा है तुम भी चुप हो हम भी चुप

  - Alqama Shibli

Khamoshi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alqama Shibli

As you were reading Shayari by Alqama Shibli

Similar Writers

our suggestion based on Alqama Shibli

Similar Moods

As you were reading Khamoshi Shayari Shayari