nazar jo aata hai baahar mein kab vo andar hoon
main aadmi hoon kahaan aadmi ka paikar hoon
raha jo bheed mein bhi mushfiqon ki sar-afraaz
khuda-gawah mein waisa hi ek masdar hoon
safeena koi salaamat na rah sakega ab
qasam-khuda-ki main bifara hua samundar hoon
ye aur baat ki tum ko main yaad aa na saka
vagarna aaj bhi mehfil mein har zabaan par hoon
thi meri zaat kabhi kaayenaat ka mehwar
hisaar-e-zaat mein lekin main aaj shashdar hoon
dilon ke band dariche bhi jis se khul jaayen
jo padh sako to parhe jaao main vo mantr hoon
jo padh sake na mera chehra bhi vo khud-been tum
jo dard lamhon ka samjhe main vo qalander hoon
नज़र जो आता है बाहर में कब वो अंदर हूँ
मैं आदमी हूँ कहाँ आदमी का पैकर हूँ
रहा जो भीड़ में भी मुश्फ़िक़ों की सर-अफ़राज़
ख़ुदा-गवाह में वैसा ही एक मसदर हूँ
सफ़ीना कोई सलामत न रह सकेगा अब
क़सम-ख़ुदा-की मैं बिफरा हुआ समुंदर हूँ
ये और बात कि तुम को मैं याद आ न सका
वगर्ना आज भी महफ़िल में हर ज़बाँ पर हूँ
थी मेरी ज़ात कभी काएनात का मेहवर
हिसार-ए-ज़ात में लेकिन मैं आज शश्दर हूँ
दिलों के बंद दरीचे भी जिस से खुल जाएँ
जो पढ़ सको तो पढ़े जाओ मैं वो मंतर हूँ
जो पढ़ सके न मिरा चेहरा भी वो ख़ुद-बीं तुम
जो दर्द लम्हों का समझे मैं वो क़लंदर हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alqama Shibli
our suggestion based on Alqama Shibli
As you were reading Baaten Shayari Shayari