ye kya ki chehra naqaab-andar-naqaab rakho
yahi hai kaafi bacha ke aankhon ki aab rakho
kaha ye kis ne ki roz-o-shab ka hisaab rakho
b-naam-e-jaan karb-e-mustaqil ka azaab rakho
saroon ke oopar se jo tumhaare guzar gai hai
hamaare hisse mein dosto vo kitaab rakho
rah-e-tamanna mein jin se raksaan hon maah-o-anjum
tum apni aankhon mein raushni ke vo khwaab rakho
bhatk na jaaye koi musaafir rah-e-talab mein
har ek naqsh-e-qadam mein tum aftaab rakho
ufuk-ufuk aaftaab-e-taaza ki zau-fishaani
jo ho sake to nazr-nazr inqilaab rakho
mera taaruf hai naam mera kalaam mera
tumhein mubarak tum apne saare khitaab rakho
ये क्या कि चेहरा नक़ाब-अन्दर-नक़ाब रक्खो
यही है काफ़ी बचा के आँखों की आब रक्खो
कहा ये किस ने कि रोज़-ओ-शब का हिसाब रक्खो
ब-नाम-ए-जाँ कर्ब-ए-मुस्तक़िल का अज़ाब रक्खो
सरों के ऊपर से जो तुम्हारे गुज़र गई है
हमारे हिस्से में दोस्तो वो किताब रक्खो
रह-ए-तमन्ना में जिन से रक़्साँ हों माह-ओ-अंजुम
तुम अपनी आँखों में रौशनी के वो ख़्वाब रक्खो
भटक न जाए कोई मुसाफ़िर रह-ए-तलब में
हर एक नक़्श-ए-क़दम में तुम आफ़्ताब रक्खो
उफ़ुक़-उफ़ुक़ आफ़्ताब-ए-ताज़ा की ज़ौ-फ़िशानी
जो हो सके तो नज़र-नज़र इंक़लाब रक्खो
मिरा तआ'रुफ़ है नाम मेरा कलाम मेरा
तुम्हें मुबारक तुम अपने सारे ख़िताब रक्खो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alqama Shibli
our suggestion based on Alqama Shibli
As you were reading Fantasy Shayari Shayari