kabhi padho to mujhe harf-e-mo'tabar ki tarah | कभी पढ़ो तो मुझे हर्फ़-ए-मो'तबर की तरह

  - Alqama Shibli

kabhi padho to mujhe harf-e-mo'tabar ki tarah
ye kya ki padhte ho farsooda si khabar ki tarah

qalam to karte ho sar ko mere magar sun lo
main reg-zaar-e-wafa mein hoon ek shajar ki tarah

udaasi khol ke baal apna so rahi hai yahan
ki jaise shehar mein har ghar hai mere ghar ki tarah

hamaare zauq-e-parastish ko tum duaaein do
chamak rahe hain ye patthar jo ab guhar ki tarah

mashaam-e-jaan mein abhi tak hai us badan ki baas
khila tha raat jo ik guncha-e-sehr ki tarah

har ek sang pata poochta hai ghar ka mere
nahin hai kya koi sar aur mere sar ki tarah

nawaah-e-jaan mein ujaalon ka raqs hai shibli
ye kaun aaya dabey paanv yun sehar ki tarah

कभी पढ़ो तो मुझे हर्फ़-ए-मो'तबर की तरह
ये क्या कि पढ़ते हो फ़र्सूदा सी ख़बर की तरह

क़लम तो करते हो सर को मिरे मगर सुन लो
मैं रेग-ज़ार-ए-वफ़ा में हूँ एक शजर की तरह

उदासी खोल के बाल अपना सो रही है यहाँ
कि जैसे शहर में हर घर है मेरे घर की तरह

हमारे ज़ौक़-ए-परस्तिश को तुम दुआएँ दो
चमक रहे हैं ये पत्थर जो अब गुहर की तरह

मशाम-ए-जाँ में अभी तक है उस बदन की बास
खिला था रात जो इक ग़ुंचा-ए-सहर की तरह

हर एक संग पता पूछता है घर का मिरे
नहीं है क्या कोई सर और मेरे सर की तरह

नवाह-ए-जाँ में उजालों का रक़्स है 'शिबली'
ये कौन आया दबे पाँव यूँ सहर की तरह

  - Alqama Shibli

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alqama Shibli

As you were reading Shayari by Alqama Shibli

Similar Writers

our suggestion based on Alqama Shibli

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari