har ek lafz hai zinda alaamaton se tiri
meri ghazal ki ye qamat nazaakaton se tiri
tire baghair to be-samt thi masaafat-e-umr
mera safar hua aasaan rafaqaton se tiri
ab is mein teri meri khaamoshi hi behtar hai
ki baat phail gai hai vazaahaton se tiri
mere rafeeq mere is qadar khilaaf na the
ye ikhtilaaf badha hai himaayaton se tiri
tiri talab ke hawaale se zindagi thi meri
mera javaaz hua khatm qurbaton se tiri
main khaar-o-khas ka gharaunda tu sail-e-shauq nadeem
main toot-foot gaya hoon mohabbaton se tiri
हर एक लफ़्ज़ है ज़िंदा अलामतों से तिरी
मिरी ग़ज़ल की ये क़ामत नज़ाकतों से तिरी
तिरे बग़ैर तो बे-सम्त थी मसाफ़त-ए-उम्र
मिरा सफ़र हुआ आसाँ रफ़ाक़तों से तिरी
अब इस में तेरी मिरी ख़ामुशी ही बेहतर है
कि बात फैल गई है वज़ाहतों से तिरी
मिरे रफ़ीक़ मिरे इस क़दर ख़िलाफ़ न थे
ये इख़्तिलाफ़ बढ़ा है हिमायतों से तिरी
तिरी तलब के हवाले से ज़िंदगी थी मिरी
मिरा जवाज़ हुआ ख़त्म क़ुर्बतों से तिरी
मैं ख़ार-ओ-ख़स का घरौंदा तू सैल-ए-शौक़ 'नदीम'
मैं टूट-फूट गया हूँ मोहब्बतों से तिरी
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Amanat Nadeem
As you were reading Musafir Shayari Shayari