ai khuda ajab hai tira jahaan mera dil yahan pe laga nahin | ऐ ख़ुदा अजब है तिरा जहाँ मिरा दिल यहाँ पे लगा नहीं - Ambreen Haseeb Ambar

ai khuda ajab hai tira jahaan mera dil yahan pe laga nahin
jahaan koi ahl-e-wafa nahin kisi lab pe harf-e-dua nahin

bada shor tha tire shehar ka so guzaar aaye hain din wahan
vo sakoon ki jis ki talash hai tire shehar mein bhi mila nahin

ye jo hashr barpa hai har taraf to bas is ka hai yahi ik sabab
hai labon pe naam-e-khuda magar kisi dil mein khauf-e-khuda nahin

jo hasi hai lab pe saji hui to ye sirf zabt ka farq hai
mere dil mein bhi wahi zakham hain mera haal tujh se juda nahin

ye jo dasht-e-dil mein hain raunqen ye tiri ata ke tufail hain
diya zakham jo vo haraa raha jo diya jala vo bujha nahin

ai khuda ajab hai tiri raza koi bhed is ka na pa saka
ki mila to mil gaya be-talab jise maangte the mila nahin

vo jo harf-e-haq tha likha gaya kisi shaam khoon se ret par
hai gawaah mauja-e-waqt bhi ki vo harf us se mita nahin

ऐ ख़ुदा अजब है तिरा जहाँ मिरा दिल यहाँ पे लगा नहीं
जहाँ कोई अहल-ए-वफ़ा नहीं किसी लब पे हर्फ़-ए-दुआ नहीं

बड़ा शोर था तिरे शहर का सो गुज़ार आए हैं दिन वहाँ
वो सकूँ कि जिस की तलाश है तिरे शहर में भी मिला नहीं

ये जो हश्र बरपा है हर तरफ़ तो बस इस का है यही इक सबब
है लबों पे नाम-ए-ख़ुदा मगर किसी दिल में ख़ौफ़-ए-ख़ुदा नहीं

जो हँसी है लब पे सजी हुई तो ये सिर्फ़ ज़ब्त का फ़र्क़ है
मिरे दिल में भी वही ज़ख़्म हैं मिरा हाल तुझ से जुदा नहीं

ये जो दश्त-ए-दिल में हैं रौनक़ें ये तिरी अता के तुफ़ैल हैं
दिया ज़ख़्म जो वो हरा रहा जो दिया जला वो बुझा नहीं

ऐ ख़ुदा अजब है तिरी रज़ा कोई भेद इस का न पा सका
कि मिला तो मिल गया बे-तलब जिसे माँगते थे मिला नहीं

वो जो हर्फ़-ए-हक़ था लिखा गया किसी शाम ख़ून से रेत पर
है गवाह मौजा-ए-वक़्त भी कि वो हर्फ़ उस से मिटा नहीं

- Ambreen Haseeb Ambar
0 Likes

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ambreen Haseeb Ambar

As you were reading Shayari by Ambreen Haseeb Ambar

Similar Writers

our suggestion based on Ambreen Haseeb Ambar

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari