idhar se bhi to hawa-e-bahaar guzri hai | इधर से भी तो हवा-ए-बहार गुज़री है

  - Ameer Raza Mazhari

idhar se bhi to hawa-e-bahaar guzri hai
kuchh ek baar nahin baar baar guzri hai

gila nahin ye faqat arz-e-haal hai ai dost
tire baghair bahut be-qaraar guzri hai

wahi to meri hayaat-e-safar ki pounji hai
vo zindagi jo sar-e-rahguzaar guzri hai

qalam liye hue socha kiye ki kya likhen
kuchh is tarah bhi shab-e-intizaar guzri hai

bhula sakenge na us ko qafas mein ai sayyaad
vo do ghadi jo sar-e-shaakh-saar guzri hai

kabhi kabhi to meri bar-mahal khamoshi bhi
unhen fugaan ki tarah naagawaar guzri hai

hui jo dil se mere bad-gumaaniyaan un ko
to shaayri bhi meri naagawaar guzri hai

khizaan mein bhi na kisi ki khuda kare guzre
vo jis tarah meri fasl-e-bahaar guzri hai

ubhar gai hai kahi par raza jo talhi-e-fikr
mere mizaaj-e-ghazal par vo baar guzri hai

इधर से भी तो हवा-ए-बहार गुज़री है
कुछ एक बार नहीं बार बार गुज़री है

गिला नहीं ये फ़क़त अर्ज़-ए-हाल है ऐ दोस्त
तिरे बग़ैर बहुत बे-क़रार गुज़री है

वही तो मेरी हयात-ए-सफ़र की पूँजी है
वो ज़िंदगी जो सर-ए-रहगुज़ार गुज़री है

क़लम लिए हुए सोचा किए कि क्या लिखें
कुछ इस तरह भी शब-ए-इंतिज़ार गुज़री है

भुला सकेंगे न उस को क़फ़स में ऐ सय्याद
वो दो घड़ी जो सर-ए-शाख़-सार गुज़री है

कभी कभी तो मिरी बर-महल ख़मोशी भी
उन्हें फ़ुग़ाँ की तरह नागवार गुज़री है

हुईं जो दिल से मिरे बद-गुमानियाँ उन को
तो शाइरी भी मिरी नागवार गुज़री है

ख़िज़ाँ में भी न किसी की ख़ुदा करे गुज़रे
वो जिस तरह मिरी फ़स्ल-ए-बहार गुज़री है

उभर गई है कहीं पर 'रज़ा' जो तल्ख़ी-ए-फ़िक्र
मिरे मिज़ाज-ए-ग़ज़ल पर वो बार गुज़री है

  - Ameer Raza Mazhari

Ijazat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Raza Mazhari

As you were reading Shayari by Ameer Raza Mazhari

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Raza Mazhari

Similar Moods

As you were reading Ijazat Shayari Shayari