rahguzar-baashon ko saaye ki bhi kya haajat nahin
poochte hain aalam-e-now tere me'maaron se ham
kya khabar thi aa ke manzil par vo hoga chaak chaak
jo bacha laaye the daaman raah ke khaaron se ham
jaise saaya bhi gunaahon ka nahin ham par pada
kis qadar daaman-kasheeda hain gunehgaaro se ham
dam na lenge jab talak ye saamne se hat na jaayen
takkaren lete rahenge unchi deewaron se ham
aap gham-khwari ki zahmat mat gawara kijie
iltijaa karte hain ab ye apne gham-khwaron se ham
apni naadaari se khud apni nazar mein hain subuk
is qadar mar'oub hain daulat ke ambaaron se ham
ho rahe hain hausale poore mashiyyat ke raza
le rahe hain baaz mehr-o-maah se taaron se ham
रहगुज़र-बाशों को साए की भी क्या हाजत नहीं
पूछते हैं आलम-ए-नौ तेरे मे'मारों से हम
क्या ख़बर थी आ के मंज़िल पर वो होगा चाक चाक
जो बचा लाए थे दामन राह के ख़ारों से हम
जैसे साया भी गुनाहों का नहीं हम पर पड़ा
किस क़दर दामन-कशीदा हैं गुनहगारों से हम
दम न लेंगे जब तलक ये सामने से हट न जाएँ
टक्करें लेते रहेंगे ऊँची दीवारों से हम
आप ग़म-ख़्वारी की ज़हमत मत गवारा कीजिए
इल्तिजा करते हैं अब ये अपने ग़म-ख़्वारों से हम
अपनी नादारी से ख़ुद अपनी नज़र में हैं सुबुक
इस क़दर मरऊब हैं दौलत के अम्बारों से हम
हो रहे हैं हौसले पूरे मशिय्यत के 'रज़ा'
ले रहे हैं बाज मेहर-ओ-माह से तारों से हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Raza Mazhari
our suggestion based on Ameer Raza Mazhari
As you were reading Raasta Shayari Shayari