agarche shola ayaan nahin hai agarche lab par dhuaan nahin hai | अगरचे शो'ला अयाँ नहीं है अगरचे लब पर धुआँ नहीं है

  - Ameer Raza Mazhari

agarche shola ayaan nahin hai agarche lab par dhuaan nahin hai
nihaan jise ham samajh rahe hain vo aag dil ki nihaan nahin hai

ye raah vo hai ki har musaafir ke tajarbe jis mein mukhtalif hain
vo kaun insaan hai zindagi jis ki ik nayi dastaan nahin hai

kidhar ko jaayen kise pukaare mudhen ki aage hi badhte jaayen
ghubaar ka bhi tire sahaara hamein to ai kaarwaan nahin hai

zara ye sehra ko jaane waalon se koi pooche kahaan chale tum
kahi hai koi zameen aisi jahaan pe ye aasmaan nahin hai

vo meherbaan ho to vasvasa ye ki meherbaani ye dafa'atan kyun
vo sargiraan hai to hai ye hasrat ki haaye vo meherbaan nahin hai

ye dil ki paiham si be-qaraari nazar ki harkaat-e-iztiraari
aur us pe israar-e-parda-daari ki jaise vo raaz-daan nahin hai

wahi hikaayat dil-o-nazar ki wahi kahaani hai chashm-e-tar ki
raza ye meri ghazal-saraai nayi koi dastaan nahin hai

अगरचे शो'ला अयाँ नहीं है अगरचे लब पर धुआँ नहीं है
निहाँ जिसे हम समझ रहे हैं वो आग दिल की निहाँ नहीं है

ये राह वो है कि हर मुसाफ़िर के तजरबे जिस में मुख़्तलिफ़ हैं
वो कौन इंसाँ है ज़िंदगी जिस की इक नई दास्ताँ नहीं है

किधर को जाएँ किसे पुकारें मुड़ें कि आगे ही बढ़ते जाएँ
ग़ुबार का भी तिरे सहारा हमें तो ऐ कारवाँ नहीं है

ज़रा ये सहरा को जाने वालों से कोई पूछे कहाँ चले तुम
कहीं है कोई ज़मीन ऐसी जहाँ पे ये आसमाँ नहीं है

वो मेहरबाँ हो तो वसवसा ये कि मेहरबानी ये दफ़अ'तन क्यों
वो सरगिराँ है तो है ये हसरत कि हाए वो मेहरबाँ नहीं है

ये दिल की पैहम सी बे-क़रारी नज़र की हरकात-ए-इज़्तिरारी
और उस पे इसरार-ए-पर्दा-दारी कि जैसे वो राज़-दाँ नहीं है

वही हिकायत दिल-ओ-नज़र की वही कहानी है चश्म-ए-तर की
'रज़ा' ये मेरी ग़ज़ल-सराई नई कोई दास्ताँ नहीं है

  - Ameer Raza Mazhari

Hasrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Raza Mazhari

As you were reading Shayari by Ameer Raza Mazhari

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Raza Mazhari

Similar Moods

As you were reading Hasrat Shayari Shayari