vo jo din hijr-e-yaar mein guzre | वो जो दिन हिज्र-ए-यार में गुज़रे

  - Ameer Raza Mazhari

vo jo din hijr-e-yaar mein guzre
kuchh tadap kuchh qaraar mein guzre

wahi haasil the zindagaani ke
chaar din jo bahaar mein guzre

kya kiya tum se kaise kaise vaham
dil-e-be-e'tibaar mein guzre

kitni kaliyon ke kitne phoolon ke
qafile nau-bahaar mein guzre

zindagi ke liye mile the jo din
maut ke intizaar mein guzre

hasraton ke hujoom mein tiri yaad
jaise mahmil ghubaar mein guzre

ham chaman mein rahe to aise rahe
jaise din khaarzaar mein guzre

gham-e-jaanaan se bach rahe the jo din
vo gham-e-rozgaar mein guzre

zindagi ki yahi tamannaa thi
aap ki rahguzar mein guzre

jaan-nisaaron ka jaaiza tha wahan
ham bhi pichhli qataar mein guzre

kaate katata nahin vo waqt raza
jo kisi intizaar mein guzre

वो जो दिन हिज्र-ए-यार में गुज़रे
कुछ तड़प कुछ क़रार में गुज़रे

वही हासिल थे ज़िंदगानी के
चार दिन जो बहार में गुज़रे

क्या किया तुम से कैसे कैसे वहम
दिल-ए-बे-ए'तिबार में गुज़रे

कितनी कलियों के कितने फूलों के
क़ाफ़िले नौ-बहार में गुज़रे

ज़िंदगी के लिए मिले थे जो दिन
मौत के इंतिज़ार में गुज़रे

हसरतों के हुजूम में तिरी याद
जैसे महमिल ग़ुबार में गुज़रे

हम चमन में रहे तो ऐसे रहे
जैसे दिन ख़ारज़ार में गुज़रे

ग़म-ए-जानाँ से बच रहे थे जो दिन
वो ग़म-ए-रोज़गार में गुज़रे

ज़िंदगी की यही तमन्ना थी
आप की रहगुज़ार में गुज़रे

जाँ-निसारों का जाएज़ा था वहाँ
हम भी पिछली क़तार में गुज़रे

काटे कटता नहीं वो वक़्त 'रज़ा'
जो किसी इंतिज़ार में गुज़रे

  - Ameer Raza Mazhari

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Raza Mazhari

As you were reading Shayari by Ameer Raza Mazhari

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Raza Mazhari

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari