soz-e-dil sham-e-tapaan ho jaise | सोज़-ए-दिल शम-ए-तपाँ हो जैसे

  - Ameer Raza Mazhari

soz-e-dil sham-e-tapaan ho jaise
aag choolhe mein nihaan ho jaise

kaisi afsurda bahaar aayi hai
ab bhi gulshan mein khizaan ho jaise

mujh pe mehfil mein tabassum ki nazar
b-tufail-e-digaraan ho jaise

aap ki chashm-e-inaayat ka yaqeen
dil-fareb ek gumaan ho jaise

yun vo sunte hain kahaani meri
ik hadees-e-digaraan ho jaise

chaunk uthe ham to qayamat hogi
zindagi khwaab-e-giraan ho jaise

dil se ik aah to nikli thi magar
sham-e-kushta ka dhuaan ho jaise

saamne un ke ye aalam hai raza
ek aalam nigaraan ho jaise

सोज़-ए-दिल शम-ए-तपाँ हो जैसे
आग चूल्हे में निहाँ हो जैसे

कैसी अफ़्सुर्दा बहार आई है
अब भी गुलशन में ख़िज़ाँ हो जैसे

मुझ पे महफ़िल में तबस्सुम की नज़र
ब-तुफ़ैल-ए-दिगराँ हो जैसे

आप की चश्म-ए-इनायत का यक़ीं
दिल-फ़रेब एक गुमाँ हो जैसे

यूँ वो सुनते हैं कहानी मेरी
इक हदीस-ए-दिगराँ हो जैसे

चौंक उठे हम तो क़यामत होगी
ज़िंदगी ख़्वाब-ए-गिराँ हो जैसे

दिल से इक आह तो निकली थी मगर
शम-ए-कुश्ता का धुआँ हो जैसे

सामने उन के ये आलम है 'रज़ा'
एक आलम निगराँ हो जैसे

  - Ameer Raza Mazhari

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Raza Mazhari

As you were reading Shayari by Ameer Raza Mazhari

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Raza Mazhari

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari