apni khata ki rakh ke dil zauq-e-khalish na pa sake
aql ki jhidkiyaan sahin par na fareb kha sake
hijr bhi ek vaham hai vasl bhi ik fareb tha
kho ke na tum ko kho sake pa ke na tum ko pa sake
teri nazar ne bazm mein uth ke hamein bitha diya
utthe to baar baar ham uth ke magar na ja sake
jurat-e-tark-e-aashiqi mujh se na ho saki kabhi
apne ko aazma liya tum ko na aazma sake
kahte hain ma'arifat jise vo bhi hai e'tiraaf-e-izz
us ko khuda samajh liya jo na samajh mein aa sake
ishq usi ka mustanad shauq usi ka mo'tabar
teri nigaah se bhi jo raaz-e-nazar chhupa sake
bas isee talkh yaad par khatm hai dastaan-e-dil
tum ne hamein bhula diya ham na tumhein bhula sake
aaye vo may-kade mein kyun us ki jagah haram mein hai
aankh bacha ke jo piye pee ke na ladkhada sake
vo jo hai banda-e-wafa kahte hain sab jise raza
us ki bhala majaal kya tum se nazar mila sake
अपनी ख़ता कि रख के दिल ज़ौक़-ए-ख़लिश न पा सके
अक़्ल की झिड़कियाँ सहीं पर न फ़रेब खा सके
हिज्र भी एक वहम है वस्ल भी इक फ़रेब था
खो के न तुम को खो सके पा के न तुम को पा सके
तेरी नज़र ने बज़्म में उठ के हमें बिठा दिया
उट्ठे तो बार बार हम उठ के मगर न जा सके
जुरअत-ए-तर्क-ए-आशिक़ी मुझ से न हो सकी कभी
अपने को आज़मा लिया तुम को न आज़मा सके
कहते हैं मा'रिफ़त जिसे वो भी है ए'तिराफ़-ए-इज्ज़
उस को ख़ुदा समझ लिया जो न समझ में आ सके
इश्क़ उसी का मुस्तनद शौक़ उसी का मो'तबर
तेरी निगाह से भी जो राज़-ए-नज़र छुपा सके
बस इसी तल्ख़ याद पर ख़त्म है दास्तान-ए-दिल
तुम ने हमें भुला दिया हम न तुम्हें भुला सके
आए वो मय-कदे में क्यों उस की जगह हरम में है
आँख बचा के जो पिए पी के न लड़खड़ा सके
वो जो है बंदा-ए-वफ़ा कहते हैं सब जिसे 'रज़ा'
उस की भला मजाल क्या तुम से नज़र मिला सके
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Raza Mazhari
our suggestion based on Ameer Raza Mazhari
As you were reading Love Shayari Shayari