ham to jaana ja rahe hain shehar tera chhodkar | हम तो जाना जा रहे हैं शहर तेरा छोड़कर - abdul amin

ham to jaana ja rahe hain shehar tera chhodkar
teri khushboo teri galiyaan tera rasta chhodkar

kaun batlaayega ab taabeer mere khwaab ki
log mere ja rahe hain mujh ko tanhaa chhodkar

mujh ko koi gham nahin hai yaar meri maut ka
tu magar kyun bhag aaya mujhko marta chhodkar

shehar mein laai hain hamko ghar ki zimmedaariyaan
varna ham aate nahin maa ko akela chhodkar

uski baatein sun kar ab sab chaaragar behosh hain
yaad usko kuch nahin hai mera chehra chhodkar

khatm hone ka to ye kuch naam tak leti nahin
zindagi ham aa gaye tujhko adhoora chhodkar

हम तो जाना जा रहे हैं शहर तेरा छोड़कर
तेरी ख़ुशबू तेरी गलियाँ तेरा रस्ता छोड़कर

कौन बतलाएगा अब ताबीर मेरे ख़्वाब की
लोग मेरे जा रहे हैं मुझ को तन्हा छोड़कर

मुझ को कोई ग़म नहीं है यार मेरी मौत का
तू मगर क्यूँ भाग आया मुझको मरता छोड़कर

शहर में लाई हैं हमको घर की ज़िम्मेदारियाँ
वरना हम आते नहीं माँ को अकेला छोड़कर

उसकी बातें सुन कर अब सब चारागर बेहोश हैं
याद उसको कुछ नहीं है मेरा चेहरा छोड़कर

ख़त्म होने का तो ये कुछ नाम तक लेती नहीं
ज़िन्दगी हम आ गए तुझको अधूरा छोड़कर

- abdul amin
0 Likes

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by abdul amin

As you were reading Shayari by abdul amin

Similar Writers

our suggestion based on abdul amin

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari