ab apne deeda-o-dil ka bhi e'tibaar nahin | अब अपने दीदा-ओ-दिल का भी ए'तिबार नहीं

  - Anand Narayan Mulla

ab apne deeda-o-dil ka bhi e'tibaar nahin
usi ko pyaar kiya jis ke dil mein pyaar nahin

nahin ki mujh ko tabi'at pe ikhtiyaar nahin
har ik jaam se pee luun vo baada-khwaar nahin

har ek gaam pe kaanton ki hain kameen-gaahein
shabaab aah shagoofoon ki rahguzar nahin

bhari hui hai vo kaam-o-dahan mein talkhi-e-zeest
ki lab pe jaam-e-mohabbat bhi khush-gawaar nahin

na mere ashkon se daaman pe tere aayegi aanch
ye shola-roo hain magar fitrat-e-sharaar nahin

kahi chhupaaye se chhupti bhi hai haqeeqat-e-gham
vo gham hi kya jo masarrat se aashkaar nahin

main teri yaad se behka chuka hoon yun dil ko
ki ab mujhe tiri furqat bhi naagawaar nahin

mere sukoon ke liye kyun ye koshish-e-paiham
qaraar chheenne waale tujhe qaraar nahin

jahaan-e-aql ke nafrat-kadon mein bat jaata
hazaar shukr mohabbat pe ikhtiyaar nahin

kisi ki loot ke raahat khushi nahin milti
khizaan ke haath mein sarmaaya-e-bahaar nahin

nigaah-e-dost ko is ki bhi hai khabar lekin
vo raaz jis ka abhi dil bhi raazdaar nahin

tavajja-e-nigah-e-yaar ka sabab ma'aloom
dil-e-girifta-e-'mulla abhi shikaar nahin

अब अपने दीदा-ओ-दिल का भी ए'तिबार नहीं
उसी को प्यार किया जिस के दिल में प्यार नहीं

नहीं कि मुझ को तबीअ'त पे इख़्तियार नहीं
हर इक जाम से पी लूँ वो बादा-ख़्वार नहीं

हर एक गाम पे काँटों की हैं कमीं-गाहें
शबाब आह शगूफ़ों की रहगुज़ार नहीं

भरी हुई है वो काम-ओ-दहन में तल्ख़ी-ए-ज़ीस्त
कि लब पे जाम-ए-मोहब्बत भी ख़ुश-गवार नहीं

न मेरे अश्कों से दामन पे तेरे आएगी आँच
ये शो'ला-रू हैं मगर फ़ितरत-ए-शरार नहीं

कहीं छुपाए से छुपती भी है हक़ीक़त-ए-ग़म
वो ग़म ही क्या जो मसर्रत से आश्कार नहीं

मैं तेरी याद से बहका चुका हूँ यूँ दिल को
कि अब मुझे तिरी फ़ुर्क़त भी नागवार नहीं

मिरे सुकूँ के लिए क्यूँ ये कोशिश-ए-पैहम
क़रार छीनने वाले तुझे क़रार नहीं

जहान-ए-अक़्ल के नफ़रत-कदों में बट जाता
हज़ार शुक्र मोहब्बत पे इख़्तियार नहीं

किसी की लूट के राहत ख़ुशी नहीं मिलती
ख़िज़ाँ के हाथ में सर्माया-ए-बहार नहीं

निगाह-ए-दोस्त को इस की भी है ख़बर लेकिन
वो राज़ जिस का अभी दिल भी राज़दार नहीं

तवज्जा-ए-निगह-ए-यार का सबब मा'लूम
दिल-ए-गिरफ़्ता-ए-'मुल्ला' अभी शिकार नहीं

  - Anand Narayan Mulla

Akhbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anand Narayan Mulla

As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla

Similar Writers

our suggestion based on Anand Narayan Mulla

Similar Moods

As you were reading Akhbaar Shayari Shayari