jin ke qabze mein pal nahin hote
un ke hisse mein kal nahin hote
fenk de haath se ye talwaarein
masale aise hal nahin hote
soch kar thak chuka har ek gareeb
jhopde kyun mahal nahin hote
zahar hota hai us ke seene mein
jis ke maathe pe bal nahin hote
thokron se wafa zaroori hai
raaste ye saral nahin hote
जिन के क़ब्ज़े में पल नहीं होते
उन के हिस्से में कल नहीं होते
फेंक दे हाथ से ये तलवारें
मसअले ऐसे हल नहीं होते
सोच कर थक चुका हर एक ग़रीब
झोपड़े क्यों महल नहीं होते
ज़हर होता है उस के सीने में
जिस के माथे पे बल नहीं होते
ठोकरों से वफ़ा ज़रूरी है
रास्ते ये सरल नहीं होते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Andaz Amrohvi
our suggestion based on Andaz Amrohvi
As you were reading Raasta Shayari Shayari