umr bhar chalta rahoon ye haadisa rahne diya | उम्र भर चलता रहूँ ये हादिसा रहने दिया

  - Andaz Amrohvi

umr bhar chalta rahoon ye haadisa rahne diya
us ne manzil cheen li aur raasta rahne diya

is tarah us ne kiya beemaari-e-gham ka ilaaj
achha hone par bhi mohtaaj-e-davaa rahne diya

jab gaye the meri raahon mein jala kar tum charaagh
aandhiyon ko kis liye mujh se khafa rahne diya

chahe jhoota hi sahi us ne dilaasa to diya
kam se kam jeene ka mere silsila rahne diya

tha haqeeqat par fida sone se bhi darta raha
umr bhar aankhon ko khwaabon se juda rahne diya

yun kiya mujh par sitam aakhir teri pehchaan ne
meri hi pehchaan ko mujh se juda rahne diya

khud se jab andaaz milne ka nahin tha hausla
aaina chehre ke aage kyun rakha rahne diya

उम्र भर चलता रहूँ ये हादिसा रहने दिया
उस ने मंज़िल छीन ली और रास्ता रहने दिया

इस तरह उस ने किया बीमारी-ए-ग़म का इलाज
अच्छा होने पर भी मोहताज-ए-दवा रहने दिया

जब गए थे मेरी राहों में जला कर तुम चराग़
आंधियों को किस लिए मुझ से ख़फ़ा रहने दिया

चाहे झूटा ही सही उस ने दिलासा तो दिया
कम से कम जीने का मेरे सिलसिला रहने दिया

था हक़ीक़त पर फ़िदा सोने से भी डरता रहा
उम्र भर आँखों को ख़्वाबों से जुदा रहने दिया

यूँ किया मुझ पर सितम आख़िर तेरी पहचान ने
मेरी ही पहचान को मुझ से जुदा रहने दिया

ख़ुद से जब अंदाज़ मिलने का नहीं था हौसला
आइना चेहरे के आगे क्यों रखा रहने दिया

  - Andaz Amrohvi

Hausla Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Andaz Amrohvi

As you were reading Shayari by Andaz Amrohvi

Similar Writers

our suggestion based on Andaz Amrohvi

Similar Moods

As you were reading Hausla Shayari Shayari