jis ne dekha vo ho gaya us ka | जिस ने देखा वो हो गया उस का

  - Andaz Amrohvi

jis ne dekha vo ho gaya us ka
kaun batlaaye ab pata us ka

zindagi bhar ye justuju hi rahi
kaun tha apna kaun tha us ka

ho gaya boodha vo gareeb aakhir
aaj tak ghar na ban saka us ka

us ki thaane mein jeb khaali thi
bas yahi ek jurm tha us ka

tay kare hai safar vo auron ka
kaun rokega raasta us ka

jaane kya us ne likh diya ho mujhe
is liye khat na padh saka us ka

nazar aa kar bhi vo na aaye nazar
vaise deedaar har jagah us ka

जिस ने देखा वो हो गया उस का
कौन बतलाए अब पता उस का

ज़िंदगी भर ये जुस्तुजू ही रही
कौन था अपना कौन था उस का

हो गया बूढ़ा वो ग़रीब आख़िर
आज तक घर न बन सका उस का

उस की थाने में जेब ख़ाली थी
बस यही एक जुर्म था उस का

तय करे है सफ़र वो औरों का
कौन रोकेगा रास्ता उस का

जाने क्या उस ने लिख दिया हो मुझे
इस लिए ख़त न पढ़ सका उस का

नज़र आ कर भी वो न आए नज़र
वैसे दीदार हर जगह उस का

  - Andaz Amrohvi

Khat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Andaz Amrohvi

As you were reading Shayari by Andaz Amrohvi

Similar Writers

our suggestion based on Andaz Amrohvi

Similar Moods

As you were reading Khat Shayari Shayari