jise bhi dekhiye saahil se aa ke pyaar kare | जिसे भी देखिए साहिल से आ के प्यार करे

  - Andaz Amrohvi

jise bhi dekhiye saahil se aa ke pyaar kare
sawaal ye hai ki dariya ko kaun paar kare

vo aa bhi jaaye to rehta hai intizaar us ka
ab aise shakhs ka kya koi intizaar kare

jo jaante hi nahin ik qataar mein udna
nigaah aise parindon ko kya shumaar kare

libaas jis ka hai ujla faqat mere dam se
meri qamees ke dhabbe ko vo shumaar kare

wahin uthaai hai andaaz ne nazar apni
nazaara khud ko nazar par jahaan nisaar kare

जिसे भी देखिए साहिल से आ के प्यार करे
सवाल ये है कि दरिया को कौन पार करे

वो आ भी जाए तो रहता है इंतिज़ार उस का
अब ऐसे शख़्स का क्या कोई इंतिज़ार करे

जो जानते ही नहीं इक क़तार में उड़ना
निगाह ऐसे परिंदों को क्या शुमार करे

लिबास जिस का है उजला फ़क़त मिरे दम से
मिरी क़मीस के धब्बे को वो शुमार करे

वहीं उठाई है अंदाज़ ने नज़र अपनी
नज़ारा ख़ुद को नज़र पर जहाँ निसार करे

  - Andaz Amrohvi

Intezaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Andaz Amrohvi

As you were reading Shayari by Andaz Amrohvi

Similar Writers

our suggestion based on Andaz Amrohvi

Similar Moods

As you were reading Intezaar Shayari Shayari