bhar nahin paaya abhi tak zakhm-e-kaari haaye haaye | भर नहीं पाया अभी तक ज़ख़्म-ए-कारी हाए हाए

  - Anees Ansari

bhar nahin paaya abhi tak zakhm-e-kaari haaye haaye
dil ko thaame hain lahu phir bhi hai jaari haaye haaye

dard ka ehsaas ghat jaata agar chahe koi
ho rahi hai aur ulte dil-figaari haaye haaye

jism to pehle hi zakhmi tha magar baaki tha dil
ab adoo ke haath mein khanjar hai bhari haaye haaye

hijr mein vaise bhi aati hai museebat jaan par
par raqeebon ki alag hai khanda-kaari haaye haaye

reza reza kar diya zalim ne saare jism ko
ud rahi hai khaak pairo'n par hamaari haaye haaye

dil giriftaa ho ke chup baithe hain shaayad is tarah
rehm aaye dekh kar soorat hamaari haaye haaye

dasht-e-qaatil said banne se nahin rukta kabhi
hai abas bechaargi-o-aah-o-zaari haaye haaye

jo parinde ud nahin sakte ab un ki khair ho
aane waala hai isee jaanib shikaari haaye haaye

raah se patthar utha kar soo-e-zaalim fenk de
gar nahin teeron ki tujh mein zarb-kaari haaye haaye

ek qibla ik azaan aur ek majlis ik imaam
kaash aa jaaye samajh mein ye tumhaari haaye haaye

भर नहीं पाया अभी तक ज़ख़्म-ए-कारी हाए हाए
दिल को थामे हैं लहू फिर भी है जारी हाए हाए

दर्द का एहसास घट जाता अगर चाहे कोई
हो रही है और उल्टे दिल-फ़िगारी हाए हाए

जिस्म तो पहले ही ज़ख़्मी था मगर बाक़ी था दिल
अब अदू के हाथ में ख़ंजर है भारी हाए हाए

हिज्र में वैसे भी आती है मुसीबत जान पर
पर रक़ीबों की अलग है ख़ंदा-कारी हाए हाए

रेज़ा रेज़ा कर दिया ज़ालिम ने सारे जिस्म को
उड़ रही है ख़ाक पैरों पर हमारी हाए हाए

दिल गिरफ़्ता हो के चुप बैठे हैं शायद इस तरह
रहम आए देख कर सूरत हमारी हाए हाए

दस्त-ए-क़ातिल सैद बनने से नहीं रुकता कभी
है अबस बेचारगी-ओ-आह-ओ-ज़ारी हाए हाए

जो परिंदे उड़ नहीं सकते अब उन की ख़ैर हो
आने वाला है इसी जानिब शिकारी हाए हाए

राह से पत्थर उठा कर सू-ए-ज़ालिम फेंक दे
गर नहीं तीरों की तुझ में ज़र्ब-कारी हाए हाए

एक क़िबला इक अज़ाँ और एक मज्लिस इक इमाम
काश आ जाए समझ में ये तुम्हारी हाए हाए

  - Anees Ansari

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anees Ansari

As you were reading Shayari by Anees Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Anees Ansari

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari