usne dekha jo muskuraate hue | उसने देखा जो मुस्कुराते हुए - Daagh Aligarhi

usne dekha jo muskuraate hue
mar gaye log kasmasaate hue

main vo majnoon nahin jo mar jaaun
khaak seharaaon mein udaate hue

aag thi aag aur bhi bharki
aag se aag ko bujhaate hue

laakh vaade kiye the usne bhi
jism se jism ko dabate hue

aur phir door ho gaye dono
darmiyaan dooriyaan mitaate hue

kitne purze lage the yaad nahin
main magan tha ghadi banaate hue

aur kab tak chaloon teri jaanib
main akela qadam badhaate hue

kab takalluf se chain paayega
tu naye aadmi banaate hue

kya tujhe main bhi yaad aata hoon
meri ghazlon ko gungunaate hue

उसने देखा जो मुस्कुराते हुए
मर गए लोग कसमसाते हुए

मैं वो मजनूँ नहीं जो मर जाऊँ
ख़ाक सहराओं में उड़ाते हुए

आग थी आग और भी भड़की
आग से आग को बुझाते हुए

लाख वादे किए थे उसने भी
जिस्म से जिस्म को दबाते हुए

और फिर दूर हो गए दोनों
दरमियाँ दूरियाँ मिटाते हुए

कितने पुर्ज़े लगे थे याद नहीं
मैं मगन था घड़ी बनाते हुए

और कब तक चलूँ तेरी जानिब
मैं अकेला क़दम बढ़ाते हुए

कब तकल्लुफ़ से चैन पाएगा
तू नए आदमी बनाते हुए

क्या तुझे मैं भी याद आता हूँ
मेरी ग़ज़लों को गुनगुनाते हुए

- Daagh Aligarhi
1 Like

Tanhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daagh Aligarhi

As you were reading Shayari by Daagh Aligarhi

Similar Writers

our suggestion based on Daagh Aligarhi

Similar Moods

As you were reading Tanhai Shayari Shayari