tazurba zindagi ka ye mera kehta hai jaaneman | तज़ुर्बा ज़िन्दगी का ये मेरा कहता है जानेमन - Atul Maurya

tazurba zindagi ka ye mera kehta hai jaaneman
wahi rota bahut hai jo bahut hansta hai jaaneman

khuda kaise dikhe unko dilon mein jinke nafrat hai
mohabbat ki nazar dekho khuda dikhta hai jaaneman

ye chanda aur suraj aur zameenon aasmaan saare
sabhi ka roop tere roop se milta hai jaaneman

ye duniya ik bagicha hai bageeche mein ye dekha main
sabhi phoolon ka har bhanware se kuch rishta hai jaaneman

abhi masroof hoon thoda main career ko banaane mein
tujhe paane ki khaatir bas yahi rasta hai jaaneman

kabhi khulkar nahin kehta tu ghazlon ke bahaane sun
teri saadaamizaaji pe atul marta hai jaaneman

तज़ुर्बा ज़िन्दगी का ये मेरा कहता है जानेमन
वही रोता बहुत है जो बहुत हँसता है जानेमन

ख़ुदा कैसे दिखे उनको दिलों में जिनके नफ़रत है
मोहब्बत की नज़र देखो ख़ुदा दिखता है जानेमन

ये चंदा और सूरज और ज़मीनों आसमाँ सारे
सभी का रूप तेरे रूप से मिलता है जानेमन

ये दुनिया इक बगीचा है बगीचे में ये देखा मैं
सभी फूलों का हर भँवरे से कुछ रिश्ता है जानेमन

अभी मसरूफ़ हूँ थोड़ा मैं करियर को बनाने में
तुझे पाने की ख़ातिर बस यही रस्ता है जानेमन

कभी खुलकर नहीं कहता तू गज़लों के बहाने सुन
तेरी सादामिज़ाजी पे 'अतुल' मरता है जानेमन

- Atul Maurya
5 Likes

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Atul Maurya

As you were reading Shayari by Atul Maurya

Similar Writers

our suggestion based on Atul Maurya

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari