so raha hai ghar sabhi ke khwaab aankhon dhal rahe hain | सो रहा है घर सभी के ख़्वाब आँखों ढल रहे हैं - Atul Maurya

so raha hai ghar sabhi ke khwaab aankhon dhal rahe hain
ek hum hain baarishon ke baad aankhen mal rahe hain

pooch mat vo kaun the jo kar gaye hain mujhko tanhaa
chanda suraj the vo meri aankhon ke kaajal rahe hain

waah umda kah rahe hain log jo ye muskuraa kar
hon na ye shayar magar ye ishq mein ghaayal rahe hain

maine un logon mein hi akshar khuda ko pa liya jo
kaanpati roohon ki khaatir jaade ki kambal rahe hain

manzilen ho chahe jo bhi vo humein apna hi lenge
hamko chalne se hai matlab chalna hai so chal rahe hain

unko bhi dekha atul ne zindagi mein fel hote
jo kitaabi imtihaanon mein sada awwal rahe hain

सो रहा है घर सभी के ख़्वाब आँखों ढल रहे हैं
एक हम हैं बारिशों के बाद आँखें मल रहे हैं

पूछ मत वो कौन थे जो कर गए हैं मुझको तन्हा
चंदा सूरज थे वो मेरी आँखों के काजल रहे हैं

'वाह', 'उम्दा' कह रहे हैं लोग जो ये मुस्कुरा कर
हों न ये शायर मगर ये इश्क़ में घायल रहे हैं

मैंने उन लोगों में ही अक्सर ख़ुदा को पा लिया जो
काँपती रूहों की ख़ातिर जाड़े की कम्बल रहे हैं

मंज़िलें हो चाहे जो भी वो हमें अपना ही लेंगी
हमको चलने से है मतलब चलना है सो चल रहे हैं

उनको भी देखा 'अतुल' ने ज़िन्दगी में फेल होते
जो किताबी इम्तिहानों में सदा अव्वल रहे हैं

- Atul Maurya
4 Likes

Shaayar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Atul Maurya

As you were reading Shayari by Atul Maurya

Similar Writers

our suggestion based on Atul Maurya

Similar Moods

As you were reading Shaayar Shayari Shayari