bharo hunkaar aisi dilli ka darbaar hil jaaye | भरो हुंकार ऐसी, दिल्ली का दरबार हिल जाए - Atul Maurya

bharo hunkaar aisi dilli ka darbaar hil jaaye
yuvaon kar do kuch aisa ki ye sarkaar hil jaaye

yahan jo baante hain majhabon ke naam pe hamko
karo ik vaar unki nafrati deewaar hil jaaye

hukoomat cheez kya mil kar dahaado saath mein tum to
bulandi se khadi vo cheen ki deewaar hil jaaye

jawaane hind gar jay hind ka jayghosh jo kar den
to dar ke fauj jo sarhad ke hai us paar hil jaaye

भरो हुंकार ऐसी, दिल्ली का दरबार हिल जाए
युवाओं कर दो कुछ ऐसा कि ये सरकार हिल जाए

यहाँ जो बाँटते हैं मजहबों के नाम पे हमको
करो इक वार उनकी नफरती दीवार हिल जाए

हुकूमत चीज क्या मिल कर दहाड़ो साथ में तुम तो
बुलंदी से खड़ी वो चीन की दीवार हिल जाए

जवाने हिन्द गर जय हिन्द का जयघोष जो कर दें
तो डर के फौज जो सरहद के है उस पार हिल जाए

- Atul Maurya
11 Likes

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Atul Maurya

As you were reading Shayari by Atul Maurya

Similar Writers

our suggestion based on Atul Maurya

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari