kamaane waalon ki yaaron kamaai chhoot jaati hai | कमाने वालों की यारों कमाई छूट जाती है - Atul Maurya

kamaane waalon ki yaaron kamaai chhoot jaati hai
muhabbat sir chadhe to phir padhaai chhoot jaati hai

bade rishte muhabbat dosti dekhi zamaane mein
zara si baat par ab to kalaaee chhoot jaati hai

ikaai ki jagah tum ho dahaai ki jagah duniya
ikaai yaad rahti hai dahaai chhoot jaati hai

watan mein muflisi hai chahe digital ho gaye hon hum
abhi paise ki killat se davaai chhoot jaati hai

musalsal kaam hi hai formula kaamyaabi ka
musalsal doodh mathne par malaai chhoot jaati hai

कमाने वालों की यारों कमाई छूट जाती है
मुहब्बत सिर चढ़े तो फिर पढ़ाई छूट जाती है

बड़े रिश्ते, मुहब्बत, दोस्ती देखी ज़माने में
ज़रा सी बात पर अब तो कलाई छूट जाती है

इकाई की जगह तुम हो दहाई की जगह दुनिया
इकाई याद रहती है दहाई छूट जाती है

वतन में मुफ़लिसी है, चाहे डिजिटल हो गए हों हम
अभी पैसे की किल्लत से दवाई छूट जाती है

मुसलसल काम ही है फार्मूला कामयाबी का
मुसलसल दूध मथने पर मलाई छूट जाती है

- Atul Maurya
7 Likes

Promise Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Atul Maurya

As you were reading Shayari by Atul Maurya

Similar Writers

our suggestion based on Atul Maurya

Similar Moods

As you were reading Promise Shayari Shayari