sach ko seena taan kar kehne ki aadat hai to hai | सच को सीना तान कर कहने की आदत है तो है

  - Atul Maurya

sach ko seena taan kar kehne ki aadat hai to hai
bolna sach aur ladna gar bagaavat hai to hai

tum bhi bolo main bhi gar jo ho zaroori bolna
ho na chup tu bol tere dil mein himmat hai to hai

may ye kya jaane ki mujhko peene waala kaun hai
barbadbaaye pee ke koi ye sharaarat hai to hai

poochte ho jo wajah mere muhabbat karne ki
ye mujhe maaloom kya bas ye muhabbat hai to hai

tum jala daalo bhale hi pyaar ki har nematein
par hamaare paas pehla aakhiri khat hai to hai

gher len barse jhamaajham pyaar waali badliyaan
bheegne ki ishq mein ab dil ko chaahat hai to hai

dekh kar meri taraf palkein jhuka lena tera
is sharaarat mein chhupa nazre sharaafat hai to hai

baccha kya jaane khilauna kyun nahin laaya gaya
ro ro kar baapu se usko jo shikaayat hai to hai

सच को सीना तान कर कहने की आदत है तो है
बोलना सच और लड़ना गर बग़ावत है तो है

तुम भी बोलो मैं भी ग़र जो हो ज़रूरी बोलना
हो न चुप तू बोल तेरे दिल में हिम्मत है तो है

मय ये क्या जाने कि मुझको पीने वाला कौन है
बड़बड़ाये पी के कोई ,ये शरारत है तो है

पूछते हो जो वजह मेरे मुहब्बत करने की
ये मुझे मालूम क्या बस ये मुहब्बत है तो है

तुम जला डालो भले ही प्यार की हर नेमतें
पर हमारे पास पहला आखिरी ख़त है तो है

घेर लें बरसें झमाझम प्यार वाली बदलियाँ
भीगने की इश्क में अब दिल को चाहत है तो है

देख कर मेरी तरफ पलकें झुका लेना तेरा
इस शरारत में छुपा नज़रे शराफ़त है तो है

बच्चा क्या जाने खिलौना क्यों नहीं लाया गया
रो रो कर बापू से उसको जो शिकायत है तो है

  - Atul Maurya

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Atul Maurya

As you were reading Shayari by Atul Maurya

Similar Writers

our suggestion based on Atul Maurya

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari