yaar sapne dekh ke main dar na jaaun
raah takte main achaanak mar na jaaun
hai tamannaa rab banaaun main bada ghar
ghar bane jo phir kabhi main ghar na jaaun
chaal duryodhan nahin shakuni chale hai
dar mujhe hai haar phir chausar na jaaun
haar ke aisa lage ab kya karenge
kaamyaabi ke laga langar na jaaun
log chhedenge wahan phir baat uski
bas yahi main soch ke daftar na jaaun
aap jo dil ke bagal mein dil rakhenge
ban kahi main aapka dilbar na jaaun
ishq ke sohbat rahe to lag raha hai
ban kahin main aadmi behtar na jaaun
यार सपने देख के मैं डर न जाऊँ
राह तकते मैं अचानक मर न जाऊँ
है तमन्ना रब बनाऊँ मैं बड़ा घर
घर बने जो फिर कभी मैं घर न जाऊँ
चाल दुर्योधन नहीं शकुनी चले है
डर मुझे है हार फिर चौसर न जाऊँ
हार के ऐसा लगे अब क्या करेंगे
कामयाबी के लगा लंगर न जाऊँ
लोग छेड़ेंगे वहाँ फिर बात उसकी
बस यही मैं सोच के दफ़्तर न जाऊँ
आप जो दिल के बगल में दिल रखेंगे
बन कही मैं आपका दिलबर न जाऊँ
इश्क़ के सोहबत रहे तो लग रहा है
बन कहीं मैं आदमी बेहतर न जाऊँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aman Vishwakarma 'Avish'
our suggestion based on Aman Vishwakarma 'Avish'
As you were reading Wahshat Shayari Shayari