jo chehre is dil ko azbar ho jaate hain
door wahi aankhon se akshar ho jaate hain
jo pal phoolon ke jaise hain saath tumhaare
baad tumhaare vo hi nashtar ho jaate hain
dhoka khaaoge chaahat mein to jaanoge
kaise sheeshe se dil patthar ho jaate hain
teri sohbat ka hi jadoo-vadoo hai ye
kitne dilkash saare manzar ho jaate hain
apne jaisa nahin hua tu is ka kya gham
ham hi tere jaise jassar ho jaate hain
जो चेहरे इस दिल को अज़बर हो जाते हैं
दूर वही आँखों से अक्सर हो जाते हैं
जो पल फूलों के जैसे हैं साथ तुम्हारे
बाद तुम्हारे वो ही नश्तर हो जाते हैं
धोका खाओगे चाहत में तो जानोगे
कैसे शीशे से दिल पत्थर हो जाते हैं
तेरी सोहबत का ही जादू-वादू है ये
कितने दिलकश सारे मंज़र हो जाते हैं
अपने जैसा नहीं हुआ तू इस का क्या ग़म
हम ही तेरे जैसे 'जस्सर' हो जाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Avtar Singh Jasser
our suggestion based on Avtar Singh Jasser
As you were reading Chaahat Shayari Shayari