koi pursoz si bazm-e-sukhan irshaad hone do | कोई पुरसोज़ सी बज़्म-ए-सुख़न इरशाद होने दो

  - Avtar Singh Jasser

koi pursoz si bazm-e-sukhan irshaad hone do
gham-e-furqat se is dil ko zara aabaad hone do

abhi bhi waqt hai hamdam nikal jaao muhabbat se
akela hi mujhe is aag mein barbaad hone do

tumhein azaad kar doonga muhabbat se magar jassar
girift-e-ishq se pehle mujhe azaad hone do

कोई पुरसोज़ सी बज़्म-ए-सुख़न इरशाद होने दो
ग़म-ए-फ़ुर्क़त से इस दिल को ज़रा आबाद होने दो

अभी भी वक़्त है हमदम निकल जाओ मुहब्बत से
अकेला ही मुझे इस आग में बरबाद होने दो

तुम्हें आज़ाद कर दूँगा मुहब्बत से मगर जस्सर
गिरफ़्त-ए-इश्क़ से पहले मुझे आज़ाद होने दो

  - Avtar Singh Jasser

Mohabbat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Avtar Singh Jasser

As you were reading Shayari by Avtar Singh Jasser

Similar Writers

our suggestion based on Avtar Singh Jasser

Similar Moods

As you were reading Mohabbat Shayari Shayari