tu mila jo nahin chaandni raat mein | तू मिला जो नहीं चाँदनी रात में

  - Avtar Singh Jasser

tu mila jo nahin chaandni raat mein
ho gaya dil hazeen chaandni raat mein

dhundhte-dhundhte tujh ko mere sanam
kho gaya main kahi chaandni raat mein

baat karti hai to baat karti hai kya
aasmaan se zameen chaandni raat mein

ham amaavas ki shab jis jagah the mile
aa gaye ham wahin chaandni raat mein

aarzoo hai yahi ab ki jassar rahe
chaand pahluunshiin chaandni raat mein

तू मिला जो नहीं चाँदनी रात में
हो गया दिल हज़ीं चाँदनी रात में

ढ़ूँढते-ढ़ूँढते तुझ को मेरे सनम
खो गया मैं कहीं चाँदनी रात में

बात करती है तो बात करती है क्या
आसमाँ से ज़मीं चाँदनी रात में

हम अमावस की शब जिस जगह थे मिले
आ गए हम वहीं चाँदनी रात में

आरज़ू है यही अब कि जस्सर रहे
चाँद पहलूनशीं चाँदनी रात में

  - Avtar Singh Jasser

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Avtar Singh Jasser

As you were reading Shayari by Avtar Singh Jasser

Similar Writers

our suggestion based on Avtar Singh Jasser

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari