mehsoos ho raha hai jo gham meri zaat ka | महसूस हो रहा है जो ग़म मेरी ज़ात का

  - Badiuzzaman Khawar

mehsoos ho raha hai jo gham meri zaat ka
sach poochiye to dard hai vo kaayenaat ka

ghar ki ghutan se door nikal jaaye aadmi
sadkon pe khauf ho na agar haadsaat ka

apne badan ko aur thakao na dosto
dhal jaaye din to bojh uthaana hai raat ka

ik doosre ko zahar pilaate hain log ab
baaton mein shahad ghol ke qand-o-nabaat ka

har shakhs tere shehar mein mujrim bana hua
firta hai dhoondhta hua rishta najaat ka

is mein kisi ka aks na chehra dikhaai de
dhundla gaya hai aaina khaavar hayaat ka

महसूस हो रहा है जो ग़म मेरी ज़ात का
सच पूछिए तो दर्द है वो काएनात का

घर की घुटन से दूर निकल जाए आदमी
सड़कों पे ख़ौफ़ हो न अगर हादसात का

अपने बदन को और थकाओ न दोस्तो
ढल जाए दिन तो बोझ उठाना है रात का

इक दूसरे को ज़हर पिलाते हैं लोग अब
बातों में शहद घोल के क़ंद-ओ-नबात का

हर शख़्स तेरे शहर में मुजरिम बना हुआ
फिरता है ढूँढता हुआ रिश्ता नजात का

इस में किसी का अक्स न चेहरा दिखाई दे
धुँदला गया है आइना 'ख़ावर' हयात का

  - Badiuzzaman Khawar

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badiuzzaman Khawar

As you were reading Shayari by Badiuzzaman Khawar

Similar Writers

our suggestion based on Badiuzzaman Khawar

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari