khada tha kaun kahaan kuchh pata chala hi nahin
main raaste mein kisi mod par ruka hi nahin
hawaaein tez theen itni ki ek dil ke siva
koi charaagh sar-e-rahguzar jala hi nahin
kahaan se khanjar-o-shamsheer aazmaata main
mere adoo se mera saamna hua hi nahin
dukhon ki aag mein har shakhs jal ke raakh hua
kisi gareeb ke dil se dhuaan utha hi nahin
hamaara shehr-e-tamanna bahut haseen tha magar
ujad ke rah gaya aisa ki phir basa hi nahin
vo ban gaya mera naaqid pata nahin kyun kar
mera kalaam to us ne kabhi padha hi nahin
main apne daur ki awaaz tha magar khaavar
kisi ne bazm-e-jahaan mein mujhe suna hi nahin
खड़ा था कौन कहाँ कुछ पता चला ही नहीं
मैं रास्ते में किसी मोड़ पर रुका ही नहीं
हवाएँ तेज़ थीं इतनी कि एक दिल के सिवा
कोई चराग़ सर-ए-रहगुज़र जला ही नहीं
कहाँ से ख़ंजर-ओ-शमशीर आज़माता मैं
मिरे अदू से मिरा सामना हुआ ही नहीं
दुखों की आग में हर शख़्स जल के राख हुआ
किसी ग़रीब के दिल से धुआँ उठा ही नहीं
हमारा शहर-ए-तमन्ना बहुत हसीं था मगर
उजड़ के रह गया ऐसा कि फिर बसा ही नहीं
वो बन गया मिरा नाक़िद पता नहीं क्यूँ कर
मिरा कलाम तो उस ने कभी पढ़ा ही नहीं
मैं अपने दौर की आवाज़ था मगर 'ख़ावर'
किसी ने बज़्म-ए-जहाँ में मुझे सुना ही नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Badiuzzaman Khawar
our suggestion based on Badiuzzaman Khawar
As you were reading Charagh Shayari Shayari