raushni hi raushni hai shehar mein
phir bhi goya teergi hai shehar mein
roz-o-shab ke shor-o-ghul ke baawajood
ik tarah ki khaamoshi hai shehar mein
rail ki patri pe so jaate hain log
kitni aasaan khud-kushi hai shehar mein
jo imarat hai vo sar se paanv tak
ishtihaaron se saji hai shehar mein
gaav chhode ho chuki muddat magar
khaavar ab tak ajnabi hai shehar mein
रौशनी ही रौशनी है शहर में
फिर भी गोया तीरगी है शहर में
रोज़-ओ-शब के शोर-ओ-ग़ुल के बावजूद
इक तरह की ख़ामुशी है शहर में
रेल की पटरी पे सो जाते हैं लोग
कितनी आसाँ ख़ुद-कुशी है शहर में
जो इमारत है वो सर से पाँव तक
इश्तिहारों से सजी है शहर में
गाँव छोड़े हो चुकी मुद्दत मगर
'ख़ावर' अब तक अजनबी है शहर में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Badiuzzaman Khawar
our suggestion based on Badiuzzaman Khawar
As you were reading Shahr Shayari Shayari