kab biyaabaan raah mein aaya ye samjha hi nahin | कब बयाबाँ राह में आया ये समझा ही नहीं - Badiuzzaman Khawar

kab biyaabaan raah mein aaya ye samjha hi nahin
chalte rahne ke siva dhyaan aur kuchh tha hi nahin

karb-e-manzil ka ho kya ehsaas in ashjaar ko
jin ke saaye mein musaafir koi thehra hi nahin

kis ko batlaate ki aaye hain kahaan se kaun hain
ham faqeeron ka kisi ne haal poocha hi nahin

kya talab karta kisi se zindagi ka khoon-bahaa
mujrimon mein mera qaateel koi nikla hi nahin

be-tahaasha pyaar ki daulat lutaai umr bhar
dosti ka ham ne kuchh anjaam socha hi nahin

ghoomta paaya gaya tha shehar mein vo ek din
phir kisi ne tere deewane ko dekha hi nahin

dosto khaavar sunaaye kya tumhein taaza ghazal
muddaton se us ne koi she'r likkha hi nahin

कब बयाबाँ राह में आया ये समझा ही नहीं
चलते रहने के सिवा ध्यान और कुछ था ही नहीं

कर्ब-ए-मंज़िल का हो क्या एहसास इन अश्जार को
जिन के साए में मुसाफ़िर कोई ठहरा ही नहीं

किस को बतलाते कि आए हैं कहाँ से कौन हैं
हम फ़क़ीरों का किसी ने हाल पूछा ही नहीं

क्या तलब करता किसी से ज़िंदगी का ख़ूँ-बहा
मुजरिमों में मेरा क़ातिल कोई निकला ही नहीं

बे-तहाशा प्यार की दौलत लुटाई उम्र भर
दोस्ती का हम ने कुछ अंजाम सोचा ही नहीं

घूमता पाया गया था शहर में वो एक दिन
फिर किसी ने तेरे दीवाने को देखा ही नहीं

दोस्तो 'ख़ावर' सुनाए क्या तुम्हें ताज़ा ग़ज़ल
मुद्दतों से उस ने कोई शे'र लिक्खा ही नहीं

- Badiuzzaman Khawar
0 Likes

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badiuzzaman Khawar

As you were reading Shayari by Badiuzzaman Khawar

Similar Writers

our suggestion based on Badiuzzaman Khawar

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari