jale hain dil na charaagon ne raushni ki hai
vo shab-paraston ne mehfil mein teergi ki hai
hadees-e-zulm-o-sitam hai hanooz na-gufta
hanooz mohr zabaanon pe khaamoshi ki hai
us ek jaam ne saaqi ki jo ata thehra
sukoon diya hai na kuchh dard mein kami ki hai
hamein ye naaz na kyun ho ki nay-navaaz hain ham
hamaare honton ne ijaad nagmgi ki hai
chaman mein sirf humeen raazdaan hain kaanton ke
gulon ke saath basar ham ne zindagi ki hai
firaq-e-yaar ne bakshi hai vasl ki lazzat
khayaal-e-yaar ne zulmat mein raushni ki hai
hain jis ki deed se mahroom aaj tak khaavar
usi ki ham ne tasavvur mein bandagi ki hai
जले हैं दिल न चराग़ों ने रौशनी की है
वो शब-परस्तों ने महफ़िल में तीरगी की है
हदीस-ए-ज़ुल्म-ओ-सितम है हनूज़ ना-गुफ़्ता
हनूज़ मोहर ज़बानों पे ख़ामुशी की है
उस एक जाम ने साक़ी की जो अता ठहरा
सुकूँ दिया है न कुछ दर्द में कमी की है
हमें ये नाज़ न क्यूँ हो कि नय-नवाज़ हैं हम
हमारे होंटों ने ईजाद नग़्मगी की है
चमन में सिर्फ़ हमीं राज़दाँ हैं काँटों के
गुलों के साथ बसर हम ने ज़िंदगी की है
फ़िराक़-ए-यार ने बख़्शी है वस्ल की लज़्ज़त
ख़याल-ए-यार ने ज़ुल्मत में रौशनी की है
हैं जिस की दीद से महरूम आज तक 'ख़ावर'
उसी की हम ने तसव्वुर में बंदगी की है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Badiuzzaman Khawar
our suggestion based on Badiuzzaman Khawar
As you were reading Ujaala Shayari Shayari