hai bahut mushkil nikalna shehar ke bazaar mein | है बहुत मुश्किल निकलना शहर के बाज़ार में

  - Badiuzzaman Khawar

hai bahut mushkil nikalna shehar ke bazaar mein
jab se jakda hoon main kamre ke dar-o-deewar mein

chhe baras ke ba'ad ik soone makaan ke baam-o-dar
bas gaye hain phir kisi ke jism ki mahkaar mein

mujh ko apne jism se baahar nikalna chahiye
warna mera dam ghutega is andhere ghaar mein

yaad use ik pal bhi karne ki mujhe furqat nahin
mubtala sadiyon se mera dil hai jis ke pyaar mein

dekhte hain log jab khaavar puraani aankh se
kya nazar aaye koi khoobi naye fankaar mein

है बहुत मुश्किल निकलना शहर के बाज़ार में
जब से जकड़ा हूँ मैं कमरे के दर-ओ-दीवार में

छे बरस के बा'द इक सूने मकाँ के बाम-ओ-दर
बस गए हैं फिर किसी के जिस्म की महकार में

मुझ को अपने जिस्म से बाहर निकलना चाहिए
वर्ना मेरा दम घुटेगा इस अँधेरे ग़ार में

याद उसे इक पल भी करने की मुझे फ़ुर्सत नहीं
मुब्तला सदियों से मेरा दिल है जिस के प्यार में

देखते हैं लोग जब 'ख़ावर' पुरानी आँख से
क्या नज़र आए कोई ख़ूबी नए फ़नकार में

  - Badiuzzaman Khawar

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badiuzzaman Khawar

As you were reading Shayari by Badiuzzaman Khawar

Similar Writers

our suggestion based on Badiuzzaman Khawar

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari