aag hi kaash lag gai hoti
do ghadi ko to raushni hoti
log milte na jo naqaabon mein
koi soorat na ajnabi hoti
poochte jis se apna naam aisi
shehar mein ek to gali hoti
baat koi kahaan khushi ki thi
dil ko kis baat ki khushi hoti
maut jab tere ikhtiyaar mein hai
mere qaabu mein zindagi hoti
mahak uthata nagar nagar khaavar
dil ki khushboo agar udri hoti
आग ही काश लग गई होती
दो घड़ी को तो रौशनी होती
लोग मिलते न जो नक़ाबों में
कोई सूरत न अजनबी होती
पूछते जिस से अपना नाम ऐसी
शहर में एक तो गली होती
बात कोई कहाँ ख़ुशी की थी
दिल को किस बात की ख़ुशी होती
मौत जब तेरे इख़्तियार में है
मेरे क़ाबू में ज़िंदगी होती
महक उठता नगर नगर 'ख़ावर'
दिल की ख़ुशबू अगर उड़ी होती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Badiuzzaman Khawar
our suggestion based on Badiuzzaman Khawar
As you were reading Khushboo Shayari Shayari