ek pari ki zulfon mein yun phansa hua hai chaand | एक परी की ज़ुल्फ़ों में यूँ फँसा हुआ है चाँद - Badiuzzaman Khawar

ek pari ki zulfon mein yun phansa hua hai chaand
ham ko lagta hai baadal mein chhupa hua hai chaand

pehli shaam nazar aaya tha bilkul aisa jaise nakhun
chaudah din mein dekho kitna bada hua hai chaand

us ne ped se kood ke jaane kitne ghote khaaye
bandar ko jab laga nadi mein gira hua hai chaand

thoda sa neeche aaye to us ko ham bhi choo len
batti jaisa ye jo oopar jala hua hai chaand

sach kya hai ye chaand pe ja kar kaash ik din main dekhoon
sab batlaate hain patthar ka bana hua hai chaand

एक परी की ज़ुल्फ़ों में यूँ फँसा हुआ है चाँद
हम को लगता है बादल में छुपा हुआ है चाँद

पहली शाम नज़र आया था बिल्कुल ऐसा जैसे नाख़ुन
चौदह दिन में देखो कितना बड़ा हुआ है चाँद

उस ने पेड़ से कूद के जाने कितने ग़ोते खाए
बंदर को जब लगा नदी में गिरा हुआ है चाँद

थोड़ा सा नीचे आए तो उस को हम भी छू लें
बत्ती जैसा ये जो ऊपर जला हुआ है चाँद

सच क्या है ये चाँद पे जा कर काश इक दिन मैं देखूँ
सब बतलाते हैं पत्थर का बना हुआ है चाँद

- Badiuzzaman Khawar
0 Likes

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Badiuzzaman Khawar

As you were reading Shayari by Badiuzzaman Khawar

Similar Writers

our suggestion based on Badiuzzaman Khawar

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari