baat karne mujhe mushkil kabhi aisi to na thi | बात करनी मुझे मुश्किल कभी ऐसी तो न थी

  - Bahadur Shah Zafar

baat karne mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai tiri mehfil kabhi aisi to na thi

le gaya cheen ke kaun aaj tira sabr o qaraar
be-qaraari tujhe ai dil kabhi aisi to na thi

us ki aankhon ne khuda jaane kiya kya jaadu
ki tabi'at meri maail kabhi aisi to na thi

aks-e-rukh'saar ne kis ke hai tujhe chamkaaya
taab tujh mein mah-e-kaamil kabhi aisi to na thi

ab ki jo raah-e-mohabbat mein uthaai takleef
sakht hoti hamein manzil kabhi aisi to na thi

paa-e-kubaan koi zindaan mein naya hai majnoon
aati aawaaz-e-salasil kabhi aisi to na thi

nigah-e-yaar ko ab kyun hai taghaaful ai dil
vo tire haal se ghaafil kabhi aisi to na thi

chashm-e-qaatil meri dushman thi hamesha lekin
jaisi ab ho gai qaateel kabhi aisi to na thi

kya sabab tu jo bigadta hai zafar se har baar
khoo tiri hoor-shamaail kabhi aisi to na thi

बात करनी मुझे मुश्किल कभी ऐसी तो न थी
जैसी अब है तिरी महफ़िल कभी ऐसी तो न थी

ले गया छीन के कौन आज तिरा सब्र ओ क़रार
बे-क़रारी तुझे ऐ दिल कभी ऐसी तो न थी

उस की आँखों ने ख़ुदा जाने किया क्या जादू
कि तबीअ'त मिरी माइल कभी ऐसी तो न थी

अक्स-ए-रुख़्सार ने किस के है तुझे चमकाया
ताब तुझ में मह-ए-कामिल कभी ऐसी तो न थी

अब की जो राह-ए-मोहब्बत में उठाई तकलीफ़
सख़्त होती हमें मंज़िल कभी ऐसी तो न थी

पा-ए-कूबाँ कोई ज़िंदाँ में नया है मजनूँ
आती आवाज़-ए-सलासिल कभी ऐसी तो न थी

निगह-ए-यार को अब क्यूँ है तग़ाफ़ुल ऐ दिल
वो तिरे हाल से ग़ाफ़िल कभी ऐसी तो न थी

चश्म-ए-क़ातिल मिरी दुश्मन थी हमेशा लेकिन
जैसी अब हो गई क़ातिल कभी ऐसी तो न थी

क्या सबब तू जो बिगड़ता है 'ज़फ़र' से हर बार
ख़ू तिरी हूर-शमाइल कभी ऐसी तो न थी

  - Bahadur Shah Zafar

Mehman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahadur Shah Zafar

As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Bahadur Shah Zafar

Similar Moods

As you were reading Mehman Shayari Shayari