na us ka bhed yaari se na ayyaari se haath aaya | न उस का भेद यारी से न अय्यारी से हाथ आया

  - Bahadur Shah Zafar

na us ka bhed yaari se na ayyaari se haath aaya
khuda aagaah hai dil ki khabardaari se haath aaya

na hon jin ke thikaane hosh vo manzil ko kya pahunchen
ki rasta haath aaya jis ki ahl-e-mohabbat se haath aaya

hua haq mein hamaare kyun sitamgar aasmaan itna
koi pooche ki zalim kya sitamgaari se haath aaya

agarche maal-e-duniya haath bhi aaya hareeson ke
to dekha ham ne kis kis zillat-o-khwaari se haath aaya

na kar zalim dil-aazaari jo ye dil manzoor hai lena
kisi ka dil jo haath aaya to dildaari se haath aaya

agarche khaaksaari keemiya ka sahal nuskha hai
v-lekin haath aaya jis ke dushwaari se haath aaya

hui hargiz na tere chashm ke beemaar ko sehhhat
na jab tak zahar tere khatt-e-zangaari se haath aaya

koi ye wahshi-e-ram-deeda tere haath aaya tha
par ai sayyaad-vash dil ki giriftaari se haath aaya

zafar jo do jahaan mein gauhar-e-maqsud tha apna
janaab-e-fakhr-e-deen ki vo madad-gaari se haath aaya

न उस का भेद यारी से न अय्यारी से हाथ आया
ख़ुदा आगाह है दिल की ख़बरदारी से हाथ आया

न हों जिन के ठिकाने होश वो मंज़िल को क्या पहुँचे
कि रस्ता हाथ आया जिस की हुश्यारी से हाथ आया

हुआ हक़ में हमारे क्यूँ सितमगर आसमाँ इतना
कोई पूछे कि ज़ालिम क्या सितमगारी से हाथ आया

अगरचे माल-ए-दुनिया हाथ भी आया हरीसों के
तो देखा हम ने किस किस ज़िल्लत-ओ-ख़्वारी से हाथ आया

न कर ज़ालिम दिल-आज़ारी जो ये दिल मंज़ूर है लेना
किसी का दिल जो हाथ आया तो दिलदारी से हाथ आया

अगरचे ख़ाकसारी कीमिया का सहल नुस्ख़ा है
व-लेकिन हाथ आया जिस के दुश्वारी से हाथ आया

हुई हरगिज़ न तेरे चश्म के बीमार को सेह्हत
न जब तक ज़हर तेरे ख़त्त-ए-ज़ंगारी से हाथ आया

कोई ये वहशी-ए-रम-दीदा तेरे हाथ आया था
पर ऐ सय्याद-वश दिल की गिरफ़्तारी से हाथ आया

'ज़फ़र' जो दो जहाँ में गौहर-ए-मक़्सूद था अपना
जनाब-ए-फ़ख़्र-ए-दीं की वो मदद-गारी से हाथ आया

  - Bahadur Shah Zafar

Child labour Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahadur Shah Zafar

As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Bahadur Shah Zafar

Similar Moods

As you were reading Child labour Shayari Shayari