jo hai yaa asaa'ish-e-ranj-o-mehn mein mast hai
koocha-e-jaanaan mein ham hain qais ban mein mast hai
tere kooche mein hai qaateel raqs-gaah-e-aashiqaa'n
koi ghaltan sar-b-kaf koi kafan mein mast hai
may-kade mein baada-kash but-khaane mein hain but-parast
jo hai aalam mein vo apni anjuman mein mast hai
nikhat-e-zulf-e-sanam se yaa moattar hai dimaagh
koi mushk-cheen koi mushk-e-khutan mein mast hai
hai koi mahv-e-namaaz aur khum-kade mein koi mast
dil mera ishq-e-butaan-e-dil-shikan mein mast hai
hai musalmaan ko hamesha aab-e-zamzam ki talash
aur har ik brahman gang-o-jamn mein mast hai
aks-e-roo-e-sham'a-roo hai mere dil mein jaa-guzin
dil mera is aatish-e-lam'aa-fagan mein mast hai
hai mera har sher-e-tar bahraam kaisa pur-asar
jis ko dekho majlis-e-ahl-e-sukhan mein mast hai
जो है याँ अासाइश-ए-रंज-ओ-मेहन में मस्त है
कूचा-ए-जानाँ में हम हैं क़ैस बन में मस्त है
तेरे कूचे में है क़ातिल रक़्स-गाह-ए-आशिक़ाँ
कोई ग़लताँ सर-ब-कफ़ कोई कफ़न में मस्त है
मय-कदे में बादा-कश बुत-ख़ाने में हैं बुत-परस्त
जो है आलम में वो अपनी अंजुमन में मस्त है
निकहत-ए-ज़ुल्फ़-ए-सनम से याँ मोअत्तर है दिमाग़
कोई मुश्क-चीं कोई मुश्क-ए-ख़ुतन में मस्त है
है कोई महव-ए-नमाज़ और ख़ुम-कदे में कोई मस्त
दिल मिरा इश्क़-ए-बुतान-ए-दिल-शिकन में मस्त है
है मुसलमाँ को हमेशा आब-ए-ज़मज़म की तलाश
और हर इक बरहमन गंग-ओ-जमन में मस्त है
अक्स-ए-रू-ए-शम्अ-रू है मेरे दिल में जा-गुज़ीं
दिल मिरा इस आतिश-ए-लम'आ-फ़गन में मस्त है
है मिरा हर शेर-ए-तर 'बहराम' कैसा पुर-असर
जिस को देखो मज्लिस-ए-अहल-ए-सुख़न में मस्त है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bahram ji
our suggestion based on Bahram ji
As you were reading Bekhudi Shayari Shayari