bahs kyun hai kaafir-o-deen-daar ki | बहस क्यूँ है काफ़िर-ओ-दीं-दार की - Bahram ji

bahs kyun hai kaafir-o-deen-daar ki
sab hai qudrat daawar-e-davvaar ki

ham saf-e-''qaaloo-bala mein kya na the
kuchh nayi khwaahish nahin deedaar ki

dhoondh kar dil mein nikala tujh ko yaar
tu ne ab mehnat meri be-kaar ki

shakl-e-gul mein jalwa karte ho kabhi
gaah soorat bulbul-e-gulzaar ki

aap aate ho kabhi subha-b-kaf
karte ho khwaahish kabhi zunnar ki

lan-taraani aap ki moosa se thi
har jagah haajat nahin inkaar ki

khaas hain maqtool-e-shamsheer-e-jafaa
kuchh to lazzat hai tiri talwaar ki

dair-o-kaaba mein kaleesa mein phire
har jagah ham ne talaash-e-yaar ki

sab ki hai taqdeer tere haath mein
kya shikaayat muslim o kuffaar ki

ham mein jauhar the ibadat khaas ke
kar diya insaan ye mitti khwaar ki

mehr-o-mah ko umr bhar dekha kiye
thi tamannaa roo-e-pur-anwaar ki

aur ai bahraam ik likkho ghazal
aap ko qillat nahin ashaar ki

बहस क्यूँ है काफ़िर-ओ-दीं-दार की
सब है क़ुदरत दावर-ए-दव्वार की

हम सफ़-ए-''क़ालू-बला'' में क्या न थे
कुछ नई ख़्वाहिश नहीं दीदार की

ढूँढ कर दिल में निकाला तुझ को यार
तू ने अब मेहनत मिरी बे-कार की

शक्ल-ए-गुल में जल्वा करते हो कभी
गाह सूरत बुलबुल-ए-गुलज़ार की

आप आते हो कभी सुब्हा-ब-कफ़
करते हो ख़्वाहिश कभी ज़ुन्नार की

लन-तरानी आप की मूसा से थी
हर जगह हाजत नहीं इंकार की

ख़ास हैं मक़्तूल-ए-शमशीर-ए-जफ़ा
कुछ तो लज़्ज़त है तिरी तलवार की

दैर-ओ-काबा में कलीसा में फिरे
हर जगह हम ने तलाश-ए-यार की

सब की है तक़दीर तेरे हाथ में
क्या शिकायत मुस्लिम ओ कुफ़्फ़ार की

हम में जौहर थे इबादत ख़ास के
कर दिया इंसाँ ये मिट्टी ख़्वार की

महर-ओ-मह को उम्र भर देखा किए
थी तमन्ना रू-ए-पुर-अनवार की

और ऐ 'बहराम' इक लिक्खो ग़ज़ल
आप को क़िल्लत नहीं अशआर की

- Bahram ji
0 Likes

Kismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahram ji

As you were reading Shayari by Bahram ji

Similar Writers

our suggestion based on Bahram ji

Similar Moods

As you were reading Kismat Shayari Shayari