duniya mein ibadat ko tiri aaye hue hain | दुनिया में इबादत को तिरी आए हुए हैं - Bahram ji

duniya mein ibadat ko tiri aaye hue hain
par husn-e-butaan dekh ke ghabraaye hue hain

afsos ibadat na tiri ho saki ham se
gardan nahin uthati hai ki sharmaae hue hain

ilzaam nahin toor jo surma hua jal kar
moosa bhi tajalli se to sharmaae hue hain

main brahman o shaikh ki takraar se samjha
paaya nahin us yaar ko jhunjhalaaye hue hain

kaabe se na raghbat hamein ne dair ki khwaahish
ham khaana-e-dil mein jo use paaye hue hain

hai kaun si ja ho jo tire jalwe se khaali
mazmoon ham ab dil mein yahi laaye hue hain

zillat ke khareedaar hue hirs ke bande
haajat ke liye haath jo failaaye hue hain

jis qaum mein dekha to tajassus tira paaya
ma'bad tire har qaum mein thehraaye hue hain

bahraam ghazal aur bhi ik un ko suna de
mushtaaq tiri bazm mein sab aaye hue hain

दुनिया में इबादत को तिरी आए हुए हैं
पर हुस्न-ए-बुताँ देख के घबराए हुए हैं

अफ़्सोस इबादत न तिरी हो सकी हम से
गर्दन नहीं उठती है कि शरमाए हुए हैं

इल्ज़ाम नहीं तूर जो सुर्मा हुआ जल कर
मूसा भी तजल्ली से तो शरमाए हुए हैं

मैं बरहमन ओ शैख़ की तकरार से समझा
पाया नहीं उस यार को झुँझलाए हुए हैं

काबे से न रग़बत हमें ने दैर की ख़्वाहिश
हम ख़ाना-ए-दिल में जो उसे पाए हुए हैं

है कौन सी जा हो जो तिरे जल्वे से ख़ाली
मज़मून हम अब दिल में यही लाए हुए हैं

ज़िल्लत के ख़रीदार हुए हिर्स के बंदे
हाजत के लिए हाथ जो फैलाए हुए हैं

जिस क़ौम में देखा तो तजस्सुस तिरा पाया
मअ'बद तिरे हर क़ौम में ठहराए हुए हैं

'बहराम' ग़ज़ल और भी इक उन को सुना दे
मुश्ताक़ तिरी बज़्म में सब आए हुए हैं

- Bahram ji
0 Likes

Afsos Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahram ji

As you were reading Shayari by Bahram ji

Similar Writers

our suggestion based on Bahram ji

Similar Moods

As you were reading Afsos Shayari Shayari