door ho dard-e-dil ye aur dard-e-jigar kisi tarah | दूर हो दर्द-ए-दिल ये और दर्द-ए-जिगर किसी तरह - Bahram ji

door ho dard-e-dil ye aur dard-e-jigar kisi tarah
aaj to hum-nasheen use la mere ghar kisi tarah

teer-e-miza ho yaar ka aur nishaana dil mera
teer pe teer ta-b-kai kijeye hazar kisi tarah

naala ho ya ki aah ho shaam ho ya paagaah ho
dil mein buton ke haaye haaye kijeye asar kisi tarah

aayi shab-e-firaq hai raat hai sakht ye bahut
kijeye shumaar-e-akhtaraan ta ho sehar kisi tarah

ishq mein dil se ham hue mahav tumhaare ai buto
khaali hain chashm-o-dil karo in mein guzar kisi tarah

दूर हो दर्द-ए-दिल ये और दर्द-ए-जिगर किसी तरह
आज तो हम-नशीं उसे ला मिरे घर किसी तरह

तीर-ए-मिज़ा हो यार का और निशाना दिल मिरा
तीर पे तीर ता-ब-कै कीजे हज़र किसी तरह

नाला हो या कि आह हो शाम हो या पगाह हो
दिल में बुतों के हाए हाए कीजे असर किसी तरह

आई शब-ए-फ़िराक़ है रात है सख़्त ये बहुत
कीजे शुमार-ए-अख़तराँ ता हो सहर किसी तरह

इश्क़ में दिल से हम हुए महव तुम्हारे ऐ बुतो
ख़ाली हैं चश्म-ओ-दिल करो इन में गुज़र किसी तरह

- Bahram ji
0 Likes

Afsos Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahram ji

As you were reading Shayari by Bahram ji

Similar Writers

our suggestion based on Bahram ji

Similar Moods

As you were reading Afsos Shayari Shayari