gamgeen nahin hoon dehr mein to shaad bhi nahin | ग़मगीं नहीं हूँ दहर में तो शाद भी नहीं - Bahram ji

gamgeen nahin hoon dehr mein to shaad bhi nahin
aabaad agar nahin hoon to barbaad bhi nahin

milti tiri wafa ki mujhe daad bhi nahin
majnoon nahin hai dehr mein farhaad bhi nahin

kehta hai yaar jurm ki paate ho tum saza
insaaf agar nahin hai to be-daad bhi nahin

insaan ki qadr kya hai jo ho tere roo-b-roo
tere mukaable mein pari-zaad bhi nahin

afsos kis se yaar ki khinchwaaiye shabeeh
maani nahin jahaan mein hai bahzaad bhi nahin

karta hai uzr-e-jor-o-jafaa yaar tu abas
hona jo tha hua vo hamein yaad bhi nahin

kushta hua hoon abroo-e-khamdaar-e-yaar ka
mere liye zaroorat-e-jallaad bhi nahin

hasrat bhare hue gaye duniya se saikron
tasdeeq kis se kijie shaddaad bhi nahin

bahraam mere zor-e-tabee'at se hai sukhun
shaagird main nahin hoon to ustaad bhi nahin

ग़मगीं नहीं हूँ दहर में तो शाद भी नहीं
आबाद अगर नहीं हूँ तो बर्बाद भी नहीं

मिलती तिरी वफ़ा की मुझे दाद भी नहीं
मजनूँ नहीं है दहर में फ़रहाद भी नहीं

कहता है यार जुर्म की पाते हो तुम सज़ा
इंसाफ़ अगर नहीं है तो बे-दाद भी नहीं

इंसाँ की क़द्र क्या है जो हो तेरे रू-ब-रू
तेरे मुक़ाबले में परी-ज़ाद भी नहीं

अफ़सोस किस से यार की खिंचवाइए शबीह
'मानी' नहीं जहाँ में है 'बहज़ाद' भी नहीं

करता है उज़्र-ए-जौर-ओ-जफ़ा यार तू अबस
होना जो था हुआ वो हमें याद भी नहीं

कुश्ता हुआ हूँ अबरू-ए-ख़मदार-ए-यार का
मेरे लिए ज़रूरत-ए-जल्लाद भी नहीं

हसरत भरे हुए गए दुनिया से सैकड़ों
तस्दीक़ किस से कीजिए शद्दाद भी नहीं

'बहराम' मेरे ज़ोर-ए-तबीअत से है सुख़न
शागिर्द मैं नहीं हूँ तो उस्ताद भी नहीं

- Bahram ji
0 Likes

Hunar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahram ji

As you were reading Shayari by Bahram ji

Similar Writers

our suggestion based on Bahram ji

Similar Moods

As you were reading Hunar Shayari Shayari