ham na but-khaane mein ne masjid-e-veeraan mein rahe
hasrat-o-aarzoo-e-jalvaa-e-jaanaan mein rahe
khun hai vo jis se ki ho daaman-e-qaatil rangeen
khoon faasid hai jo khaali sar-e-mizgaan mein rahe
ham ne masnoo' se saane ki haqeeqat paai
be-sabab ham nahin nazaar-e-khooban mein rahe
subh khurshid ko dekha hawas-e-aariz mein
shaam se roshani-e-sham-e-shabistaan mein rahe
toda zunnar ko tasbeeh ko fenka ham ne
ishq-e-rukh tha hawas-e-noor-e-darakhshaan mein rahe
jaa-b-jaa ham ko rahi jalwa-e-jaanaan ki talash
dair-o-kaaba mein phire sohbat-e-rahbaan mein rahe
khalwat-e-dil ki na kuchh qadr ko samjhe haaji
tauf-e-kaaba ke liye dasht-o-bayaabaan mein rahe
un asiroon ko hui qaid-e-ta'ayyun se najaat
jo ki paaband tire gesoo-e-pechaan mein rahe
is zameen mein ghazal ik aur bhi likkho bahraam
ye do-gazlaa to bhala aap ke deewaan mein rahe
हम न बुत-ख़ाने में ने मस्जिद-ए-वीराँ में रहे
हसरत-ओ-आरज़ू-ए-जल्वा-ए-जानाँ में रहे
ख़ूँ है वो जिस से कि हो दामन-ए-क़ातिल रंगीं
ख़ून फ़ासिद है जो ख़ाली सर-ए-मिज़्गाँ में रहे
हम ने मस्नूअ से साने की हक़ीक़त पाई
बे-सबब हम नहीं नज़्ज़ारा-ए-ख़ूबाँ में रहे
सुब्ह ख़ुर्शीद को देखा हवस-ए-आरिज़ में
शाम से रौशनी-ए-शम्-ए-शबिस्ताँ में रहे
तोड़ा ज़ुन्नार को तस्बीह को फेंका हम ने
इश्क़-ए-रुख़ था हवस-ए-नूर-ए-दरख़्शाँ में रहे
जा-ब-जा हम को रही जल्वा-ए-जानाँ की तलाश
दैर-ओ-काबा में फिरे सोहबत-ए-रहबाँ में रहे
ख़ल्वत-ए-दिल की न कुछ क़द्र को समझे हाजी
तौफ़-ए-काबा के लिए दश्त-ओ-बयाबाँ में रहे
उन असीरों को हुइ क़ैद-ए-तअय्युन से नजात
जो कि पाबंद तिरे गेसू-ए-पेचाँ में रहे
इस ज़मीं में ग़ज़ल इक और भी लिक्खो 'बहराम'
ये दो-गज़ला तो भला आप के दीवाँ में रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bahram ji
our suggestion based on Bahram ji
As you were reading Sach Shayari Shayari